Apni is nayi zindagi ko,
Naye rangon se sajaana chahte hain,
Haan aaj hum tumhaare har rang ko,
Bhul jaaana chaahte hain.
Najaane kyun tumhaari har yaad Aaj bhi,
Dil ko cheer kar jaati hai,
Haan aaj hamein wo tanhayi bhi manzoor hai,
Jo aksar gamon ko saath le aati hai.
Jo kabhi dil main rehte the,
Unhe nikaal dena chahte hain,
Haan hum aaj us jigar ke tukde ko,
Khud se juda karma chahte hain.
Aasani se bhula sake us manzar ko,
Khuda se itni hi himmat chaahte hain,
Haan us beete lamhe ko hum,
Hum bhul jaana chaahte hain.
Naye rangon se sajaana chahte hain,
Haan aaj hum tumhaare har rang ko,
Bhul jaaana chaahte hain.
Najaane kyun tumhaari har yaad Aaj bhi,
Dil ko cheer kar jaati hai,
Haan aaj hamein wo tanhayi bhi manzoor hai,
Jo aksar gamon ko saath le aati hai.
Jo kabhi dil main rehte the,
Unhe nikaal dena chahte hain,
Haan hum aaj us jigar ke tukde ko,
Khud se juda karma chahte hain.
Aasani se bhula sake us manzar ko,
Khuda se itni hi himmat chaahte hain,
Haan us beete lamhe ko hum,
Hum bhul jaana chaahte hain.