dard ki aanch par ghamon ko ubaal tu
dil mein na zyaada vahmon ko paal tu
saamne manzil aur sunhara aasmaan hai
kaat de charon taraf bune ye jaal tu
ye jamana na tere haath aayega
madaari ban dikha koi kamaal tu
ek chhed hai kaafi paani girane ko
ek patthar aasmaan ki aur uchhaal tu
nanhe ankur aaj nahi to kal niklenge
bas ek lota jal isme daal tu.
dil mein na zyaada vahmon ko paal tu
saamne manzil aur sunhara aasmaan hai
kaat de charon taraf bune ye jaal tu
ye jamana na tere haath aayega
madaari ban dikha koi kamaal tu
ek chhed hai kaafi paani girane ko
ek patthar aasmaan ki aur uchhaal tu
nanhe ankur aaj nahi to kal niklenge
bas ek lota jal isme daal tu.