Kabhi shab se kabhi sehar se lahra karti thi,
Mudatein hue ek shamma yahan jala karti thi,
Kya baat hui ke aaj sar-e-sham band ho gayi,
Ek khirki jo kabhi taa sehar khula karti thi,
Sehamta hai dil kyun ab ki bar is toofan mein,
Garajte the badal, bijli pehle bhi gira karti thi,
Kuch rang yaas me kusht-e-armaan ka hai warna
Na umeedi is dil se door hi raha karti thi,
Khata meri hi thi jo dunya se dil laga baitha,
Yeh kambakht zindagi pehle kab kisi se wafa karti thi,
Main un se kah raha hoon mujhe yaad kijiye,
Kabhi meri yaad jin ki dhadkan hua karti thi,
Dekho aaj hum un ki dunya me shamil hi nahi,
Jin ki dunya kabhi bas ham se hi hua karti thi...