Yaad tujhko ab bhi meri aati to hogi kabhi kabhi
Woh hawa ehsas mera lati to hogi kabhi kabhi
Muskurati hogi tu bhi kabhi yaad kar woh lamhe
Aur yehi yaad palkon ko bhigati to hogi kabhi kabhi
Din hota tha sang mere Raat me bhi sang main tha
Aankh teri ab bhi sapne mere sajati to hogi kabhi kabhi
Aankhon hi aankhon me kar li kitni thin humne batein
Doori in aankhon ki tujhko bhi satati to hogi kabhi kabhi
Saanse meri mehaki hain tere pyaar ki khushboo se aaj bhi
yaad meri ehsas dil me khaas jagati to hogi kabhi kabhi