Kyun zindagi ne tumse milaya hame?
Kyun phir yu juda hue hum?
Kyun tumko dil itna chahata hai?
Kyun phir tumse milne ko tarpe hai maan?
Kyun har insaan mein tumhein talashti hu?
Kyun her waqt yeh ankhein tumhein dekhana chahti hai?
Kyun her awaaz per main chaunk uthti hu?
Kyun her khusboo mein tumhein khojati hu?
Kyun zindagi se kuch maang nahi sakte?
Tumko kabhi aapna keh nahi saktie?
Kya is ke baad bhi jeena aasan hoga?
Kya ab hum mar bhi nahin sakte?
Kyun dil ki yeh majboori hai?
Kyun kahani meri itni aadhuri hai?
Kyun sapne aise dekhein maine?
Kyun zindagi mein yeh ansoo hamare hain