FRENZ 4 EVER

Peoms of Meena Kumari "naaz" Join-today-1


Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

Peoms of Meena Kumari "naaz" Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    Peoms of Meena Kumari "naaz"

    Anonymous
    Guest
    Guest

    Flower Peoms of Meena Kumari "naaz"

    Post by Guest Mon Nov 23, 2009 1:48 am

    Kuch Anmol Ashar Meena Kumari ji Ke ...


    Mera maazi,meri tanhai ka ye andha shigaf,
    Meri sanson ki tarah mere saath chalta raha,

    Aur meri nabz ki manind mere saath jeeya,
    jisko aate hue jate hue aksar lamhein,
    Apne ehsaas kishidat se tapish dete rahe,

    Zakham ki aanhon se tapaka hua yeh garam lahu,
    Dusre logon ki taksin ka samaan hua,
    Koi aisa bhi na tha jinse ise parkha ho,
    Ya achanak hi palat aaya ho, pahachana ho,

    Mere maazi!
    Mere Hamraaz !
    Mere Jalti Udasi Ke Sarikh,
    Teri aahein, tere nasoor,tere dard tamam,
    Unse rishta hai mera, aaj se yeh sab mere Hai...


    - Meena Kumari
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Flower Re: Peoms of Meena Kumari "naaz"

    Post by Guest Mon Nov 23, 2009 11:54 pm

    Tukade tukade din beeta, dhajji dhajji raat mili,
    Jitna jitna aanchal tha, utni hi saugat mili,

    Rimzim rimzim bundon mein, zeher bhi hai aur amrit bhi,
    Aankhe hans di dil roya, yeh bhi achi barsat mili,

    jab chaha dil ko samjhe, hasne ki aawaz suni,
    jaise koi kehta ho, le fir tujhko maat mili

    Mate kaisi ghate kya, chalte rehna aanth pahar,
    Dil sa saathi jab paya, bechaini bhi saath mili,

    Hoton tak aate aate, jane kitne roop bhare,
    jalti bujhti aankhon mein, sada si jo baatein mili...


    -Meena Kumari.
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Flower Re: Peoms of Meena Kumari "naaz"

    Post by Guest Tue Nov 24, 2009 8:17 pm

    Raat sunsaan hai
    Taarik hai dil ka angaan,
    Aasman par koi tara naa
    zaamin par joognu,
    timtimate hai meri
    tarsi aankhon mein Kuch diye
    Tum jinhein dekhoge to kahoge-ansoo...

    Dafatan jaag uthi dil mein wahi pyaas,
    Jise pyar ki pyaas kahun
    To jal uthti hai zaban,
    Sard ehsaas ki bhatthi mein
    sulagta hai hai badan
    Pyas..yeh pyas issi tarah mitegi shayad,
    Aaye aise mein koi zeher hi dede mujhko...


    - Meena Kumari.
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Flower Re: Peoms of Meena Kumari "naaz"

    Post by Guest Tue Nov 24, 2009 10:29 pm

    Aagaaz to hota hai anjaam nahi hota,
    Jab meri kahani mein vo naam nahi hota,

    jab zulf ki kaalikh mein ghul jaaye koi rahi,
    Badnaam sahi lekin gumnaam nahi hota,

    Hans hans ke javaan dil ke ham kyo na chune tukade,
    Har shakhs ki qismat mein inaam nahi hota,

    Bahate hue aansu ne aankhon se kaha tham kar,
    Jo mai se pighal jaaye vo jaam nahi hota,

    Din doobe hai yaa doobi baraat liye kashti,
    Saahil pe magar koi kohram nahi hota...



    - Meena Kumari



    aagaaz = start;
    anjaam = end/result
    kaalikh = blackness
    Daisy
    Daisy
    Grafik Moderator
    Grafik Moderator

    Member is :
    Online Peoms of Meena Kumari "naaz" Online
    Offline Peoms of Meena Kumari "naaz" Offline


    Female

    Virgo Cat

    Posts : 3566
    I Live

    Job/hobbies : Like music
    KARMA : 167
    Reward : 744

    Mood : springy

    Flower Re: Peoms of Meena Kumari "naaz"

    Post by Daisy Wed Nov 25, 2009 6:16 pm

    clap 2 wow nice sharing..baba.. clap 2
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Flower Re: Peoms of Meena Kumari "naaz"

    Post by Guest Wed Nov 25, 2009 10:54 pm

    thanx daiz flowers
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Flower Re: Peoms of Meena Kumari "naaz"

    Post by Guest Sat Jan 16, 2010 5:16 pm

    Ye raat ye tanhai,
    Ye dil ke dhadakne ki aavaaz,
    Ye sannata,

    Ye doobte taaron ki,
    Khamosh gazal-khvani,

    Ye vaqt ki palkon par
    Soti hui viraani,

    Jazbaat-e-muhabbat ki
    Ye aakhri angadai,

    Bajati hui har jaanib,
    Ye maut ki shahanai,

    Sab tum ko bulate hai,
    Pal bhar ko tum aa jao,

    Band hoti meri aakhon mein,
    Muhabbat ka
    Ik khvaab sajaa jao...


    Meena Kumari "Naaz" .

    Sponsored content

    Flower Re: Peoms of Meena Kumari "naaz"

    Post by Sponsored content


      Current date/time is Sun May 19, 2024 10:39 am