by kaash Sun Dec 14, 2008 9:38 pm
kitni ajeeb si hoti hain tanhaaiyaan,khud se baat karti hain jahan ruswaaiyaan
tanhaaiyaan....................................... .....tanhaaiyaan....................
kabhi unki yaadon me hansi,kabhi meri mujhse rahi vo talkhi
kahin alfaazon ki kami,kahin bujhi bujhi si meri zindagi
ek zaroorat si hain tanhaiyaan..........................
tanhaaiyaan....................................... .....tanhaaiyaan....................
kabhi unki chhuan ka ehsaas, kabhi unchhue lamho me unka saath
kabhi unke ghar ki saba'e'khaas,kabhi unki ada se na bujhti pyaas
mere pyaar me pighalti meri jawaaniyaan...............
tanhaaiyaan....................................... .....tanhaaiyaan....................
kabhi sada unki sunati,kabhi dard'e'beqaraari belihaaz badhati
kahin unke khat se khelti,kahin andhero se bhi nahi darti
nafrato me mohabbat ki sunwaaiyaan.......................
tanhaaiyaan....................................... .....tanhaaiyaan....................
kabhi shauk se hai aati,kabhi bulane se bhi nahi aati
kahin poore shab par bhari,kahin meri vo subah khali
ek aashik ke zinda mazaar pe ranayiyaan.........
tanhaaiyaan....................................... .....tanhaaiyaan....................
kabhi unki tasveer me hansti,kabhi aaiene me rahe sisakti
kabhi vafaon par hai roti,kabhi khud ko bevafa ye kahti
hamare tasavvur ki bechainiyaan.......................
tanhaaiyaan....................................... .....tanhaaiyaan....................
kabhi unse mera takraar,kabhi pyaar bhara ikraar
kahin bhatakta vo qaraar,kahin gumsum mera yaar
halaat me kitni kharaabiyaan .........................................
tanhaaiyaan....................................... .....tanhaaiyaan....................
kabhi kitna ithhlati,kabhi sirf hume hi manati
kahin shikwa hi nahi,kahin gilon se baaz na aati
iski zuba pe rahti meri khamoshiyaan.................................
tanhaaiyaan....................................... .....tanhaaiyaan....................
kabhi apno ka daastaan'e'sitam,kabhi unka vo kaafi karam
kahin sard raaton me jalan,kahin bache hue bharam
meri nakaami me unki hauslaafzaaiyaan.......................
tanhaaiyaan....................................... .....tanhaaiyaan....................
kabhi jahan se door insaniyat,kabhi ek insa me simti insaniyat
kabhi darwaaze pe koi dastak,kahin unka vo jala hua khat
kitni bebaak hain veeraaniyaan..........................
tanhaaiyaan....................................... .....tanhaaiyaan....................
kabhi mere gunaaho ki kitaab,kahin unke bedaag hisaab
kahin mere machalte azaab,kahin izzat bachate halaat
mere fursat par bhari unki nadaaniyaan.............................
tanhaaiyaan....................................... .....tanhaaiyaan....................
"kaash" ye teri raah'e'safar,ye hi tere khwabon ka vo ghar
yahan bekhabar ki bhi khabar,rahne do unke vo musalsal safar
unki khushi me hi muskurati ye ghamgeeniyaan...............
tanhaaiyaan....................................... .....tanhaaiyaan....................
Last edited by mr.cool on Tue Dec 16, 2008 6:50 pm; edited 1 time in total