Us ne phir mera haal poocha hai
Kitna mushkil sawaal poocha hai
Hichkiyon ka ajeeb lehja tha
Baat ko taal taal poocha hai
Tum mujhe choR to na jaao ge
Waaste daal daal poocha hai
Aansuuon ki zubaan ma' us ne
Jitna poocha kamaal poocha hai
Kya kabhi mil sakein ge hum donon
Mujh se mera khayaal poocha hai
Kitna mushkil sawaal poocha hai
Hichkiyon ka ajeeb lehja tha
Baat ko taal taal poocha hai
Tum mujhe choR to na jaao ge
Waaste daal daal poocha hai
Aansuuon ki zubaan ma' us ne
Jitna poocha kamaal poocha hai
Kya kabhi mil sakein ge hum donon
Mujh se mera khayaal poocha hai