FRENZ 4 EVER

Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Join-today-1


Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    sagar......dard ka
    sagar......dard ka
    Learner
    Learner

    Member is :
    Online Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Online
    Offline Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Offline


    Male

    Pisces Dog

    Posts : 170
    I LiveIndia

    Job/hobbies : Retail Store Manager
    Humor : Sarcastic, Sensible and offcourse full of HUMOR

    KARMA : 17
    Reward : 19

    Mood : lazy

    F4e Status : "...Ham ba-wafa the jo najro se gir gaye,
    unhe talash shayad kisi bewafa ki thi..."

    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Empty Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    Post by sagar......dard ka Sat May 08, 2010 5:53 pm


    Khud Ko Iss Dil Mein Basaane Ki Ijaazat De Do
    Mujh Ko Tum Apna Banaane Ki Ijaazat De Do

    Tum Meri Zindagi Ka Ek Haseen Lamha Ho
    Phoolon Se Khud Ko Sajaane Ki Ijaazat De Do

    Main Kitna Chaahta Hu Kis Tarah Bataaun tumhein
    Mujhe Ye Aaj Bataane Ki Ijaazat De Do

    Tumhari Raat Si Zulfon Mein Chand Sa Chehra
    Mujhe Yeh Shaam Sajaane Ki Ijaazat De Do

    Mujhe Qaid Kar Lo Apne Ishq Mein
    Yeh Jaan Tum Pe Lutaane Ki Ijaazat De Do

    Nahin Hai Shauk mujhe koi, TUJHKO Bhoolne Ka Magar
    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    Anonymous
    Guest
    Guest

    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Empty Re: Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    Post by Guest Sat May 08, 2010 6:31 pm

    apke jawab me sagar sahab choti sa tohfa

    Mujhko bhulane ki koshish na kar ae rahgeer
    Tum mere bina saans bhi na le paoge
    me hawa hu khusbu daman me liye firti hu
    Tere rag rag me sirf me hi me basti hu
    Mujhe bhul kar jeena asaan na hoga
    mera bina tera jeena shamshan sa hoga
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Empty Re: Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    Post by Guest Sat May 08, 2010 9:01 pm

    bahut khoob sagarji aur tanvi dear
    keep it up
    +K for both of u clap 2
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Empty Re: Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    Post by Guest Sat May 08, 2010 9:14 pm

    kya baat hai sagar nice 1 n nice going Tanvi too Thums up keep itup... Thums up
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Empty Re: Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    Post by Guest Sun May 09, 2010 12:19 am

    thanx a lot raj dear
    sagar......dard ka
    sagar......dard ka
    Learner
    Learner

    Member is :
    Online Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Online
    Offline Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Offline


    Male

    Pisces Dog

    Posts : 170
    I LiveIndia

    Job/hobbies : Retail Store Manager
    Humor : Sarcastic, Sensible and offcourse full of HUMOR

    KARMA : 17
    Reward : 19

    Mood : lazy

    F4e Status : "...Ham ba-wafa the jo najro se gir gaye,
    unhe talash shayad kisi bewafa ki thi..."

    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Empty Re: Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    Post by sagar......dard ka Sun May 09, 2010 12:20 am

    clap 2 clap 2 clap 2 clap 2

    nice one TANVI JI.............


    Last edited by sagar......dard ka on Sun May 09, 2010 12:23 am; edited 1 time in total
    sagar......dard ka
    sagar......dard ka
    Learner
    Learner

    Member is :
    Online Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Online
    Offline Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Offline


    Male

    Pisces Dog

    Posts : 170
    I LiveIndia

    Job/hobbies : Retail Store Manager
    Humor : Sarcastic, Sensible and offcourse full of HUMOR

    KARMA : 17
    Reward : 19

    Mood : lazy

    F4e Status : "...Ham ba-wafa the jo najro se gir gaye,
    unhe talash shayad kisi bewafa ki thi..."

    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Empty Re: Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    Post by sagar......dard ka Sun May 09, 2010 12:21 am

    Tanvi wrote:apke jawab me sagar sahab choti sa tohfa

    Mujhko bhulane ki koshish na kar ae rahgeer
    Tum mere bina saans bhi na le paoge
    me hawa hu khusbu daman me liye firti hu
    Tere rag rag me sirf me hi me basti hu
    Mujhe bhul kar jeena asaan na hoga
    mera bina tera jeena shamshan sa hoga


    ek chhota sa jawaab main bhi dene ki gustaakhi kar raha hu TANVI ji aapke saamne (((waise to main aapke barabar kahin nahi thaharta, is gustakhi ke liye maaf kijiyega........)))



    Ya AAP pattharon se muhabbat na kijiye
    ya dil ke aaeine ki hifajat na kijiye
    KHUSBOO chaman se ud ke zulfon mein aa base
    YOON TOOT KAR KISI PE INAYAT NA KIJIYE...................!!!!!!!!
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Empty Re: Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    Post by Guest Sun May 09, 2010 1:15 am

    janab apke jawab me main youn kahungi

    Laakh tukde ho jaye aaeine ke
    aks utne hi nazar aayenge
    chaman kitna bhi chupale
    apne daman me khusboo
    mohabaat ke diwane
    usse julfo me la basayenge
    Angel_Drishne
    Angel_Drishne
    Administrator
    Administrator

    Member is :
    Online Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Online
    Offline Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Offline


    Female

    Pisces Cat

    Posts : 3744
    I Liveindia

    Job/hobbies : love shayaris ,love music and above all love designing
    Humor : Into the Dream Land

    KARMA : 338
    Reward : 3224

    Mood : stubborn

    F4e Status : No distance, will ever keep
    My heart from loving you
    There are no more tears for it to weep
    For a love that runs so true



    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do 744301
    * : Into the Dream Land

    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Empty Re: Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    Post by Angel_Drishne Sun May 09, 2010 1:33 am

    sagar......dard ka wrote:
    Khud Ko Iss Dil Mein Basaane Ki Ijaazat De Do
    Mujh Ko Tum Apna Banaane Ki Ijaazat De Do

    Tum Meri Zindagi Ka Ek Haseen Lamha Ho
    Phoolon Se Khud Ko Sajaane Ki Ijaazat De Do

    Main Kitna Chaahta Hu Kis Tarah Bataaun tumhein
    Mujhe Ye Aaj Bataane Ki Ijaazat De Do

    Tumhari Raat Si Zulfon Mein Chand Sa Chehra
    Mujhe Yeh Shaam Sajaane Ki Ijaazat De Do

    Mujhe Qaid Kar Lo Apne Ishq Mein
    Yeh Jaan Tum Pe Lutaane Ki Ijaazat De Do

    Nahin Hai Shauk mujhe koi, TUJHKO Bhoolne Ka Magar
    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do


    wah wah ji kiya bat hai ur reply swetty

    Dil ka dard tum samajh na sake,
    Humare dil ko yaaad kar na sake

    Dooriyon se farq nahi padta,
    Baat to dilon ke nazdikiyon se hoti hai,

    Suna hai kisi gair ne ye khabar udai hogi,
    Ek din meri bhi aapse judai hogi,

    Panchi keh rahe hai ki hum chaman chod denge,
    aur sitare keh rahe hai ki hum gagan chod denge,
    agar tere ishq mein mai mar bhi jau ae sanam,
    tum dilse pukar lena hum kafan chod denge.

    Anonymous
    Guest
    Guest

    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Empty Re: Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    Post by Guest Sun May 09, 2010 2:10 am

    Nice going Sagar n Nans ... clap 2

    Patthar ke jigar valon gham mein vo ravani hai,
    Khud raah bana lega bahata hua pani hai,

    Phuulon mein gazal rakhna ye raat ki rani hai,
    Iss mein teri zulfon ki berabt kahani hai,

    Ek zahan-e-parenshan mein vo phool sa chehara hai,
    Patthar ki hifazat mein shishe ki javani hai,

    Kyon chandani raaton mein dariya pe nahate ho,
    Soye hue paani mein kya aag lagani hai,

    Is hausala-e-dil par ham ne bhi kafan pahana,
    Hans kar koi puchega kya jaan gavani hai,

    Rone ka asar dil par rah rah ke badalata hai,
    Aansu kabhi shisha hai aansu kabhi pani hai,

    Ye shabanami lahaja hai aahista gazal padhana,
    Titali ki kahani hai phulon ki zabani hai...
    Daisy
    Daisy
    Grafik Moderator
    Grafik Moderator

    Member is :
    Online Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Online
    Offline Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Offline


    Female

    Virgo Cat

    Posts : 3566
    I Live

    Job/hobbies : Like music
    KARMA : 167
    Reward : 744

    Mood : springy

    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Empty Re: Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    Post by Daisy Sun May 09, 2010 12:20 pm

    Thums up clap 2 clap 2 very nice thread sagar ji nice lines Rajdear,,nancy dear,,tanvi dear.. flowers flowers flowers

    Teri rehmaton k dayaar mein, teray badlon ko pata nahi
    Abhi aaag sard hui nahi, abhi ik alao mujha nahi

    Meri bazm-e-dil tau ujer chuki, mera farsh-e-jaan tau simat chuka
    Sabhi ja chukey meray ham nasheen, mager aik shakhs gya nahi

    Dar-o-baam sab ne saja liey, sabhi roshni mein naha liey
    Meri unglian bhi jhulas gayein, mager ik charagh jala nahi

    Gham-e-zindagi teri rah mein,shab-e-aarzoo teri chah mein
    Jo ujer gya wo basa nahi, jo bicher gya wo mila nahi

    Jo dil-o-nazer ka saroor tha, MEray pass reh k bhi door tha
    Wohi ik gulaab umeed ka, meri shaakh-e-jaan pay khila nahi

    Pas-e-karvaan, ser-e-rehguzer mein shakasta paa hoon tau is liey
    keh kadam tau sab ne mila liey, mera dil kisi se mila nahi

    MEra hamsafer jo ajeeb hai tau ajeeb ter hoon mein aap bhi
    Mujhey manzilon ki khaber nahi, usey raaston ka pata nahi
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Empty Re: Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    Post by Guest Sun May 09, 2010 12:36 pm

    keep going guys
    sagar......dard ka
    sagar......dard ka
    Learner
    Learner

    Member is :
    Online Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Online
    Offline Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Offline


    Male

    Pisces Dog

    Posts : 170
    I LiveIndia

    Job/hobbies : Retail Store Manager
    Humor : Sarcastic, Sensible and offcourse full of HUMOR

    KARMA : 17
    Reward : 19

    Mood : lazy

    F4e Status : "...Ham ba-wafa the jo najro se gir gaye,
    unhe talash shayad kisi bewafa ki thi..."

    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Empty Re: Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    Post by sagar......dard ka Sun May 09, 2010 12:43 pm


    wow Daisy.........very very beautiful lines.........

    " Mera hamsafer jo ajeeb hai tau ajeeb ter hoon mein aap bhi
    Mujhey manzilon ki khaber nahi, usey raaston ka pata nahi............."

    Masha-Allah.........kya baat hai in alfazon mein....dil ko chhu si gayi hain...

    a +K for U Daisy for this........
    sagar......dard ka
    sagar......dard ka
    Learner
    Learner

    Member is :
    Online Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Online
    Offline Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Offline


    Male

    Pisces Dog

    Posts : 170
    I LiveIndia

    Job/hobbies : Retail Store Manager
    Humor : Sarcastic, Sensible and offcourse full of HUMOR

    KARMA : 17
    Reward : 19

    Mood : lazy

    F4e Status : "...Ham ba-wafa the jo najro se gir gaye,
    unhe talash shayad kisi bewafa ki thi..."

    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Empty Re: Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    Post by sagar......dard ka Sun May 09, 2010 1:05 pm

    Baba wrote:Nice going Sagar n Nans ... clap 2

    Patthar ke jigar valon gham mein vo ravani hai,
    Khud raah bana lega bahata hua pani hai,

    Phuulon mein gazal rakhna ye raat ki rani hai,
    Iss mein teri zulfon ki berabt kahani hai,

    Ek zahan-e-parenshan mein vo phool sa chehara hai,
    Patthar ki hifazat mein shishe ki javani hai,

    Kyon chandani raaton mein dariya pe nahate ho,
    Soye hue paani mein kya aag lagani hai,

    Is hausala-e-dil par ham ne bhi kafan pahana,
    Hans kar koi puchega kya jaan gavani hai,

    Rone ka asar dil par rah rah ke badalata hai,
    Aansu kabhi shisha hai aansu kabhi pani hai,

    Ye shabanami lahaja hai aahista gazal padhana,
    Titali ki kahani hai phulon ki zabani hai...






    guru ji .......bahut khoobsurat hai aapki ye gazal, padh kar bas maza aa gaya....
    well, aapke gazal to hamesha chhu jaate hain, isiliye to AAPKO guru maana hai..........!!!!
    ek chhota sa jawaab mera bhi........


    " Patton ko toot te dekha, kabhi judte nahi dekha,
    kabhi GAMI me yaaron ko milte nahi dekha,

    Shaant hawa ki dhuno par, kabhi thirakti thi lahrein,
    aaj un lehron ka paani par, machalna nahi dekha,

    Mausam bhi beimaan hai, ye andaaz mil gaya,
    warna kyun kar aaj baarish mein, Bijli ka chamakna nahi dekha

    Patthar mujhe kehta hai, Mera Chaahne wala,
    ARRE.....Main MOM hu, usne mujhe chhu kar nahi dekha............!!!"
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Empty Re: Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    Post by Guest Sun May 09, 2010 1:18 pm

    waah tanvi superb yaar
    keep going
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Empty Re: Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    Post by Guest Sun May 09, 2010 2:44 pm

    Lolzz sagar ye to ap ka pyar n baddapan hai...

    Vo koi aur na tha chand khushk patte the,
    Shajar se toot ke jo fasl-e-gul pe roye the,

    Abhi abhi tumhein socha to kuch na yaad aaya,
    Abhi abhi to ham ek dusre se bichade the,

    Tumhare baad chaman par jab ik nazar daali,
    Kali kali mein khizaan ke chiraag jalate the,

    Tamaam umr wafa ke gunaahgar rahe,
    Ye aur baat ki ham aadami to achchhe the,

    Shab-e-khamosh ko tanhai ne zabaan de di,
    Pahad gunjate the dasht san-sanate the,

    Vo ek baar mare jin ko tha hayaat se pyar,
    Jo zindagi se gurezaan the roz marate the,

    Naye khayal ab aate hai dhal ke zahan mein,
    Hamare dil mein kabhi khet lah-lahate the,

    Ye iratiqa ka chalan hai ki har zamane mein,
    Purane log naye aadami se darate the,

    Jo bhi mulaqat thi adhuri thi,
    Hamare ek chehare ke piche hazaar chehare the...



    Khushk=dry;
    shajar=tree;
    fasl-e-gul=spring
    shab-e-Khaamosh=silent night;
    dasht=desert
    hayaat=life;
    gurezaan=to run away from
    iratiqaa=progressive
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Empty Re: Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    Post by Guest Sun May 09, 2010 7:06 pm


    Umer Bhar Yehi Malaal Raha
    Tera Jawab Mere Waastay Sawal Raha

    Jo Ik Pal Kay Bicharnay Ko Maut Kehta Tha
    Mere Bagher Bhi Zinda Hazaron Saal Raha

    sagar......dard ka
    sagar......dard ka
    Learner
    Learner

    Member is :
    Online Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Online
    Offline Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Offline


    Male

    Pisces Dog

    Posts : 170
    I LiveIndia

    Job/hobbies : Retail Store Manager
    Humor : Sarcastic, Sensible and offcourse full of HUMOR

    KARMA : 17
    Reward : 19

    Mood : lazy

    F4e Status : "...Ham ba-wafa the jo najro se gir gaye,
    unhe talash shayad kisi bewafa ki thi..."

    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Empty Re: Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    Post by sagar......dard ka Sun May 09, 2010 10:12 pm


    wow Guru ji aur Tanvi.... bahut bahut khoob......
    kya baat hai, yahaan to shaayaro ki mehfil si jamti ja rahi hai.....
    maine bhi abhi-abhi ik gazal likhi hai, ummeed hai ki aap sab ko thodi bahut pasand aayegi




    Meri hassi ka gila yaar karte hain,
    kehte hai tere dil-vich gam kya hai?
    wo muhabbat hi nahi ki jisme
    aankh kisi ke liye royi na ho,
    maine kaha iss ishq me ham kaise chot khaaye baithe hain,
    aa jao main tumhe bhi sikha dunga,
    jo aietbaar nahi mere dil pe tumko,
    aa jao, apne jakhm dikha dunga,
    haar kar is pyaar me ham,
    hasi ke peeche gam ko chhupaaye baithe hain,
    ek jindagi ka tum karte ho gila ???
    kisi ki judayi me ham, saato-janm lutaaye baithe hain.....!!!!
    Angel_Drishne
    Angel_Drishne
    Administrator
    Administrator

    Member is :
    Online Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Online
    Offline Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Offline


    Female

    Pisces Cat

    Posts : 3744
    I Liveindia

    Job/hobbies : love shayaris ,love music and above all love designing
    Humor : Into the Dream Land

    KARMA : 338
    Reward : 3224

    Mood : stubborn

    F4e Status : No distance, will ever keep
    My heart from loving you
    There are no more tears for it to weep
    For a love that runs so true



    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do 744301
    * : Into the Dream Land

    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Empty Re: Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    Post by Angel_Drishne Sun May 09, 2010 10:48 pm


    Ik rasm muhabbat hae yeh reet nibha dete,
    Kuchh der wafa karte phir chahe dagha dete,

    Yeh raat ke sannate ab mujh ko satate haen,
    In ghour andheron mein ik sham’ jala dete,

    Ghayal na kiya tum ne nazron se kabhi apni,
    Kuchh aise tarrapte hum aakash hila dete,

    Haq chheen liya tum ne is dil ke tarrapne ka,
    Hum dard e muhabbat ko… taqdeer bana dete,

    Gulshan yeh mere dil ka maanoos hae shu’lon se,
    In bujhte shararon ko halki si hawa dete,

    Naasih na bana koi sehra e muhabbat mein,
    Yoon dard ki raahon mein khud ko na mita dete,

    Phir wasl ki ummeedein jaagi haen mere mann mein,
    Phir haath uttha dete marne ki du’a dete…

    Anonymous
    Guest
    Guest

    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Empty Re: Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    Post by Guest Sun May 09, 2010 11:09 pm

    Har pal thoda aur dil me utarte jate ho,
    kareeb aata hu to aur door chale jate ho,

    Door se karke aakhon se ishare muskurate ho,
    Haaye jaana iss dil ko kitna lubhate ho,

    Mujhe jalane gairo se karte ho baatein,
    Iss dil pe kithne sitam dahye jate ho,

    Mann lagta hi hai kahin kaam mein,
    To aake mujhe yaad fir chedd jate ho,

    Ek ham hai ke aap pe marne ke bahane dhundhte hai,
    Ek aap ho ke "Raj" ko jeene ki duayein diye jate ho...


    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Rose

    Sponsored content

    Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do Empty Re: Mujhe Ye Duniya Bhulaane Ki Ijaazat De Do

    Post by Sponsored content


      Current date/time is Sun May 19, 2024 9:36 pm