Main khud zameen, mera zarf aasmaan ka hai,
Ke toot kar bhi mera hosla chattaan ka hai,
Bura na Maan mere hurf-o-lafz zehr sahi,
Main kya karun ke yehi zaaiqa zabaan ka hai,
Meri sanjeedgi mashhoor hai zamaane mein,
Meri khaamoshi bhi Pehlu mere bayaan ka hai,
Har ek ghar pe musallat hai dil ki veeraani,
Tamaam sheher pe saaya mere makaan ka hai,
Bichhad ke usse, main bas isliye nahi bikhra,
Wo keh gaya tha yehi waqt tere imtehaan ka hai...