Kachi deewar hoon thoker na lagana mujhko,
Apni nazron mein basa kar na girana mujhko,
Tum ko ankhon mein tassawur ki tarah rakhta hoon,
Dil mein dharkan ki tarah tum bhi basana mujhko,
Baat karne mein jo mushkil ho tumhein mehfil mein,
Main samhaj jaunga nazron se batana mujhko,
Apne rishte ki nazakat ka bharam rakh lena,
Mein to ashiq hoon deewana na banana mujhko...