Khamoshi mein bhi ho jati hai sab haalat ayaan meri,
Main chup rehta hoon keh deti hain aankhen daastaan meri,
Isi mein hai bhalai sab ki sun lu aur na kuch boloon,
Ke aksar dalti hai mujh ko mushkil mein zubaan meri,
Khudaya jald hi aasaar paida wasl ke kar de,
Tadapte wo udhar hai, hai buri haalat yaha meri,
Dua ko haath to uthte hai lekin dil ye kehta hai,
Mere ho jaye wo aisi bhala qismat kahaan meri,
Kahi thi jin se dil ki baat sab se kahte phirte hai,
So ab to ban gayi hai sari duniya raazdaan meri,
Yu hi khinchta chala jayega dil uski taraf ,
Yu hi ek roz wo ban jayegi phir jaan-e-jaaN meri...