Ek khuwab tha jo bikhar gaya,
ek dard aa kar thehar gaya.
Main us se rothon kis tarhan,
meri rooh mein jo utar gaya.
Main haqiqaton se dar gaya,
main kaise khud ko samait loon,
main aanso ban kar bikhar gaya.
Bada shoq tha tujhe dekhne ka,
ab yaad ban kar thehar gaya.
Tere pyaar ka he mojza tera aaks tha main jidhar gaya.
Karon kaise na uska main shukriya,
mujhe ek shair wo kar gaya..