kash kuch dair yunhi waqt guzarta rehta
main usse daikhta rehta wo sanwarta rehta
ajnabi, kitna akela hai muhabbat ka safar
tuu mere sath na hota to main darta rehta
main to subho ki tarah goad main leta uss ko
wo ke suraj tha to phir roz ubharta rehta
ik na ik rukh pai meri aank bikhati rehti
ik na ik aks mere dil mai utarta rehta
us ko jana tha, koi zakham hi dai kar jata
is bahane main use yaad to karta rehta
koi tasweer to aakhir ko ubhar hi aati
rang, khakoN main wo kuch dair to bharta rehta