aaj humne bhi gamon ko chupana sikh liya bhari mahfil main muskrana sikh liya hum to darte the gamon ka jeher peene se par ab to gamon ko jaam samajhkar peena sikh liya
Sahil ke zakhmon ko dekh usey apna dost bana liya, Lehron ne mujhe sahil samajh zakham ek naya diya. Kabhi jo hawayein khushbu ban kar mehkti thi saanso me, Aaj unhone ban kar tufaan mera he ghar tabaah kiya
Aakhir tum mujhe yaad itna kyun aate ho, Aa kar khuwabon me fir laut kyun jaate ho. Mana ki zindgi ruk nahi sakti intezaar me, Door ho kar bhi tum mujhe itna kyun tadpate ho.
woh kehti hai mujhse, ki kyun mai kuch kehta nahin, mamla hai jara pechida, varna mai kabhi chup rehta nahin, thaam lete hain jab ye, kabhi sach ka,toh kabhi jhoot ka daaman, paak har labz yun kabhi hota nahin,
dil main sameta hua hai samundar humne dard ka fir bhi jaane kaise muskura paa rahe hain hum log kehte hain bade khush hain aap to wo kya jaane is dil ko kaise jala rahe hain hum