Iss zindagi mein jo mera hai, wo sab kuchh tumhara hi to hai,
in saanson ko faqat teri is chahat ka ek sahara hi to hai.....
na kabhi jana yun chhod ke akela, ye iltija hai mere dil ki,
ek ho jane ka sapna mera hi nahi. ye tumhara bhi to hai.....
na-umeedi ke is raste par, main khauf kyun karoon andhere ka,
har qadam pe jagmagata teri chaahat ka, ek sitara bhi to hai.....
ye safar chahe taweel ho jitna, kahin himmat na yoon haar dena,
wo door dariya ke paar to zara dekho, ek kinara bhi to hai.....
tumhare ansuon Ko pehle, meri in aankhon se jaari hona,
ye Khuda ki taraf se aie mere hamdam, ik ishara bhi to hai.....
jis sheeshe ke makan ko, bade pyar se tha ghar banana chaha,
qareeb se dekho zara usko, wo hamara hi to hai.....