FRENZ 4 EVER

shayari - Shayari-E-Maikada... Join-today-1


Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

shayari - Shayari-E-Maikada... Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    Shayari-E-Maikada...

    Anonymous
    Guest
    Guest

    shayari - Shayari-E-Maikada... Empty Shayari-E-Maikada...

    Post by Guest Thu Oct 02, 2008 3:52 pm

    Tujh ko dariyadili ki qasam saaqiya,
    Mushtaqil daur par daur chalata rahe...

    Raunaq-e-maikadaa yun hi badhati rahe,
    Ik girataa rahe ik sambhalata rahe...

    issi se shuru karte hai Mehefil-E-Maikada.....join in doston...Mehefilen hai, shayari hai shayar hai, to kuch mai or maikada pe bhi ho jaye..irshaddddddddddddddddd


    Last edited by SourabhBasak on Fri Feb 26, 2010 6:27 pm; edited 4 times in total (Reason for editing : Thread made sticky)
    Anonymous
    Guest
    Guest

    shayari - Shayari-E-Maikada... Empty Re: Shayari-E-Maikada...

    Post by Guest Thu Oct 02, 2008 5:29 pm

    Yeh peenewale bahut hi ajeeb hote hai,
    Jahaan se door ye khud ke kariib hote hai,

    Kisi ko pyaar mile aur kisi ko rusvai,
    Zindagani ke safar bhi ajiib hote hai,

    Mila kisi ko hai kya sochiye amiri se,
    Dilon ke shah to aksar garib hote hai,

    Yahaan ke logon ki hai khaasiyat ye sab se badi,
    Habiib lagate hai lekin raqiib hote hai...
    Anonymous
    Guest
    Guest

    shayari - Shayari-E-Maikada... Empty Re: Shayari-E-Maikada...

    Post by Guest Thu Oct 02, 2008 5:34 pm

    Tere nisaar saqiyaa jitani piyun pilaaye jaa,
    Mast nazar ka vasta mast mujhe banaye jaa,

    Tujhko kisi se garaz kya bijali kahin giraaye jaa,
    Dil jale yaa jigar jale tu yun hi muskuraye jaa,

    Samane mere aa ke dekh rukh se naqaab hata ke dekh,
    Khilaman-e-dil hai muntazair barq-e-nazar giraaye jaa,

    'Wafa'-e-badanasib ko bakhshaa hai tune dard jo,
    Hai koi iss ki bhi dava itana zara bataaye jaa...
    Anonymous
    Guest
    Guest

    shayari - Shayari-E-Maikada... Empty Re: Shayari-E-Maikada...

    Post by Guest Thu Oct 02, 2008 5:40 pm

    Yaaro mujhe mu'aaf karo main nashe men hun
    Aab do to jaam khaali hi do main nashe mein hun,

    Maazuur hun jo paaon mere betarah pade,
    Tum sar-garaan to mujh se na ho main nashe mein hun,

    Yaa haathon haath lo mujhe jaise ke jaam-e-mai,
    Yaa thodi door saath chalo main nashe mein hun...


    maazuur=helpless;
    betarah=unsteady;
    sar-garaan=annoyed;
    jaam-e-may=goblet of wine;
    Anonymous
    Guest
    Guest

    shayari - Shayari-E-Maikada... Empty Re: Shayari-E-Maikada...

    Post by Guest Thu Oct 09, 2008 3:37 pm

    Chalo pii lein ke karar aaye na aaye,
    Ye mausam baar baar aaye na aaye,

    Gulaabon ki tarah tum tazaa rehna,
    Zamaane mein bahaar aaye na aaye,

    Ye sochaa hai ki usako bhool jaayen,
    Aab iss dil ko qaraar aaye na aaye,

    Zindagi se kyun khafaa ho tum ??
    Isse phir tum pe pyaar aaye na aaye !!!
    Anonymous
    Guest
    Guest

    shayari - Shayari-E-Maikada... Empty Re: Shayari-E-Maikada...

    Post by Guest Mon Jan 26, 2009 5:18 pm

    Dhal gaya aafatab ai saaqi,
    Laa pila de sharaab ai saaqi,

    Yaa surahi laga mere muh se,
    Yaa ulat de naqaab ai saaqi,

    Maikada chhod kar kahaan jaaun,
    Hai zamana kharaab ai saaqi,

    Jaam bhar de gunahagaron ke,
    Ye bhi hai ik savaab ai saaqi,

    Aaj peene de aur peene de,
    Kal karenge hisaab ai saaqi...
    Anonymous
    Guest
    Guest

    shayari - Shayari-E-Maikada... Empty Re: Shayari-E-Maikada...

    Post by Guest Tue Jan 27, 2009 2:38 pm

    Laa Pila De Sakii Paimana Paimane Ke Baad,
    Hosh Ki baatein Karenge Hosh Mein Aane Ke Baad,

    Lamhe Zindagi Mein Do Hi Guzarte Hai Kathin,
    Ek Tere Aane Se Pehele Ek tere jane Ke Baad...
    Anonymous
    Guest
    Guest

    shayari - Shayari-E-Maikada... Empty Re: Shayari-E-Maikada...

    Post by Guest Tue Jan 27, 2009 2:44 pm

    Tum Nahaq Naraaz hue warna Mai-khane ka Rasta to,
    Ham ne Har Uss Shakhs se Poocha , Jis ke Nain Nasheele the...
    Anonymous
    Guest
    Guest

    shayari - Shayari-E-Maikada... Empty Re: Shayari-E-Maikada...

    Post by Guest Tue Jan 27, 2009 2:56 pm

    Zindagi jaam se behlane chale jaayenge
    Gham satayega to maikhane chale jaayenge,

    Tere maikhane ki ronaq hai hamare dum se saqii,
    Tu ne muh mora to deewane chale jaayenge,

    Hum samajhte hain teri aakhon ki qeemat saqii,
    De ke kuch hosh ke nazrane chale jaayenge,

    Khair hum aaj chale jaate hain pyase hi,
    kal bohat door ye afsane chale jaayenge...
    Anonymous
    Guest
    Guest

    shayari - Shayari-E-Maikada... Empty Re: Shayari-E-Maikada...

    Post by Guest Tue Jan 27, 2009 3:05 pm

    Tum Kya Jano Sharab kaisi Pilayi Jati Hai,
    Peene Se Pehele Botal Ko Zara Hilayi Jati Hai,
    Phir Ek Aawaz lagayi jati Hai,
    "Aaao Dil-jalon...Yahan Dard-E-Dil Ki Dawayi Pilayi Jati hai"
    Anonymous
    Guest
    Guest

    shayari - Shayari-E-Maikada... Empty Re: Shayari-E-Maikada...

    Post by Guest Tue Feb 10, 2009 4:24 am

    Mai pilaakar aapaka kya jayega,
    Jayega imaan jisaka jayega,

    Dekhkar mujhko vo sharma jayega,
    Yeh tamasha kis se dekha jayega,

    Jaaun butakhaane se ky kaabe ko main,
    Haath se ye bhi thikana jayega,

    Qatl ki jab usne di dhamaki mujhe,
    Keh diya main ne bhi dekha jayega,

    Pii bhi le do ghunt zaahid pii bhi le,
    Maikade se kaun pyaasa jayega...
    Anonymous
    Guest
    Guest

    shayari - Shayari-E-Maikada... Empty Re: Shayari-E-Maikada...

    Post by Guest Thu Feb 19, 2009 2:03 pm

    Thukarao yaa ab ke pyaar karo main nashe mein hun,
    Jo chaho mere yaar karo main nashe mein hun,

    Aab bhi dila raha hun yakin-e-vaffa magar,
    Mera naa aitabaar karo main nashe mein hun,

    Girne do tum mujhe mera saagar sambhal lo,
    Itna to mere yaar karo main nashe mein hun,

    Mujhko qadam qadam pe behekane do vaaizon,
    Tum apana karobaar karo main Nashe mein hun,

    Phir be-khudi mein had se guzarane laga hun,
    Itna na mujhse pyaar karo main nashe mein hun...
    Daisy
    Daisy
    Grafik Moderator
    Grafik Moderator

    Member is :
    Online shayari - Shayari-E-Maikada... Online
    Offline shayari - Shayari-E-Maikada... Offline


    Female

    Virgo Cat

    Posts : 3566
    I Live

    Job/hobbies : Like music
    KARMA : 167
    Reward : 744

    Mood : springy

    shayari - Shayari-E-Maikada... Empty Re: Shayari-E-Maikada...

    Post by Daisy Thu Feb 19, 2009 3:55 pm

    clap 2 clap 2 Thums up bohat khoob baba...
    Anonymous
    Guest
    Guest

    shayari - Shayari-E-Maikada... Empty Re: Shayari-E-Maikada...

    Post by Guest Fri Feb 20, 2009 8:27 pm

    Thanx daisy flowers ....

    Raat Chup Chap Hai Par Chand Khamosh Nahi,
    Kaise Kah Doon Ke Aaj Phir Hosh Nahi,
    Aisa Dooba Hoon Main Unn Nigahon Mein,
    Haath Mein Jaam Hai Par Pine Ka Hosh Nahi...
    roshini
    roshini
    Frenz Hero
    Frenz Hero

    Member is :
    Online shayari - Shayari-E-Maikada... Online
    Offline shayari - Shayari-E-Maikada... Offline


    Female

    Aries Buffalo

    Posts : 5370
    Job/hobbies : fashion designing
    KARMA : 75
    Reward : 176

    Mood : embarrassed

    shayari - Shayari-E-Maikada... Empty Re: Shayari-E-Maikada...

    Post by roshini Sat Feb 21, 2009 10:44 am

    fantastik baba sehgal...

    clap 2 clap 2 clap 2

    cheerz

    .


    Anonymous
    Guest
    Guest

    shayari - Shayari-E-Maikada... Empty Re: Shayari-E-Maikada...

    Post by Guest Wed Feb 25, 2009 4:07 pm

    thanx a lodz roshini... thankyou
    Anonymous
    Guest
    Guest

    shayari - Shayari-E-Maikada... Empty Re: Shayari-E-Maikada...

    Post by Guest Wed Feb 25, 2009 10:44 pm

    shayari - Shayari-E-Maikada... 245_co10


    Maan mausam ka kaha, chayi ghataa, jaam utha,
    Aag se aag bujha, phool khila, jaam utha,

    Pii mere yaar tujhe apani qasam deta hun,
    Bhool ja shikava-gila, haath mila, jaam utha,

    Haath mein jaam jahaan aaya muqadar chamaka,
    Sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha,

    Ek pal bhi kabhi ho jata hai sadiyon jaisa,
    Der kya karna yahan, haath badha, jaam utha,

    Pyar hi pyar hai sab log barabar hain yahan,
    Maikade mein koi chota naa bada, jaam utha...


    shayari - Shayari-E-Maikada... 710
    Anonymous
    Guest
    Guest

    shayari - Shayari-E-Maikada... Empty Re: Shayari-E-Maikada...

    Post by Guest Sun Mar 01, 2009 5:42 pm

    Jawan hai raat saqiya sharaab la sharaab la,
    Zara si pyaas to bujha sharaab la sharaab la,

    Tere shabab par sada karam rahe bahaar ka,
    Tujhe lage meri dua sharab la sharaab la,

    Yahan koi na ji saka na ji sakega hosh mein,
    Mita de naam hosh ka sharaab la sharaab la,

    Tera bada hi shukriya pilaaye ja pilaaye ja,
    Naa zikr kar hisaab ka sharaab la sharaab la...
    SourabhBasak
    SourabhBasak
    Administrator
    Administrator

    Member is :
    Online shayari - Shayari-E-Maikada... Online
    Offline shayari - Shayari-E-Maikada... Offline


    Male

    Capricorn Pig

    Posts : 5393
    I LiveHyderabad

    Job/hobbies : Storage Administrator
    KARMA : 197
    Reward : 613

    Mood : crafty

    F4e Status : Gham-e-Hayat ki tashreeh aur kya hogi,
    Diya jalakar tarasta hu Roshni ke liye..

    shayari - Shayari-E-Maikada... Empty Re: Shayari-E-Maikada...

    Post by SourabhBasak Fri Mar 06, 2009 9:22 am

    Bhai mujhe post padhkar woh Pankaj udhas ka maykada wala album yaad aa gaya and specially woh song...


    Phir haanth mein sharab hai sach bolta hu mein.....
    yeh cheez lajawab hai sach bolta hu mein......
    Anonymous
    Guest
    Guest

    shayari - Shayari-E-Maikada... Empty Re: Shayari-E-Maikada...

    Post by Guest Fri Mar 13, 2009 11:17 pm

    sourabhbasak wrote:Bhai mujhe post padhkar woh Pankaj udhas ka maykada wala album yaad aa gaya and specially woh song...


    Phir haanth mein sharab hai sach bolta hu mein.....
    yeh cheez lajawab hai sach bolta hu mein......


    nice linez sonu.... Thums up jo b hai scha hai .... wink

    Chirag-e-dil jalate jalate,
    Kahin dil ke shole bhadak na jaye,
    Jaa raha hoon "Maikade" mein doston,
    Kahi ashqon ka paymana chalak na jaye...


    Last edited by Baba on Wed Mar 18, 2009 6:25 pm; edited 2 times in total

    Sponsored content

    shayari - Shayari-E-Maikada... Empty Re: Shayari-E-Maikada...

    Post by Sponsored content


      Current date/time is Wed May 08, 2024 1:55 pm