Haaye vo vaqt-e-judai ke tumhare aansuu,
Gir ke daaman pe bane the jo sitaare aansuu,
Laal-o-gauhar ke khazane hai ye saare aansuu,
Koi aankhon se chura le na tumhare aansuu,
Teri aankhon mein agar ho to sitare aansuu,
Meri aankhon mein agar ho to bechare aansuu,
In ko 'Nasir' na kabhi aankh se girne dena,
Un ko lagate hai meri aankh mein pyare aansuu...