Leheron se darr kar nauka paar nahi hoti,
Koshish karne walon ki kabhi haar nahi hoti...
Nanhi si chinti jab dana lekar chalti hai,
Chadhti deewaron par, sau baar fisalti hai,
Maan ka vishwas ragon mein sahas bharta hai,
Chadh kar girna, gir kar chadhna naa akharta hai,
Mehenat uski har baar bekar nahi hoti,

Dubkiyan shindhu mein gotakhor lagata hai,
Jaa jaa kar khali haath laut aata hai,
Milte naa sahaj hi moti pani mein,
Badhata doona vishwas issi hairani mein,
Mutthi uski har baar khali nahi hoti,
Koshish karne walon ki kabi har nahi hoti...
Asafalta ek chunauti hai sweekar karo,
Kya kami reh gayi dekho aur sudhar karo,
Jab tak naa safal ho neend chain ki tyago tum,
Sangharshon ka maidan chod naa bhago tum,
Kuch kiye bina jaijaikar nahi hoti,

Shri Harivashrai bacchan.