Kis ko qaatil main kahoon kis ko masiha samjhoon
sab yahan dost hi baithe hain kise kya samjhoon
wo bhi kya din the ke har weham yaqeen hota tha
ab haqeeqat nazar aayi to use kya samjhoon
dil jo tootaa to kai haath dua ko uthe
aise maahool mein ab kis ko paraya samjhoon