kisko qatil main kahu kisko masiha samjhu
sab yahan dost hi baithe hain kise kya samjhu
wo bhi kya din the ke har weham yaqeen hota tha
ab haqiqat nazar aaye to use kya samjhu
dil jo tuta to kai haath dua ko uthe
aise mahol mein ab kisko paraya samjhu