kuch diye auron ke aangan mein jalakar dekhiye,
ek din aisi bhi diwali manakar dekhiye
ho sake to apni hasti yun mitakar dekhiye,
ek badal ki tarah sab kuch lutakar dekhiye
kaun achhaa ya buara hai, fark kije baad mein,
aap pehle khudko aaina banakar dekhiye
baat sacchi hai to fir,badla hai kyun chehre ka rang,
aaine ke samne to aap jakar dekhiye
aadmi kya, ghumti-firti laashein hain har taraf,
didavar hain aap to, basti mein jakar dekhiye