naaz tha khud par magar aisa na tha
aaine me jab talak dekha na tha
shehar ki mehrumiya mat poochiye
bheed thi par koi bhi apna na tha
manzile aawaz deti reh gayi
hum pahoch jate magar rasta na tha
itni dilkash thi kaha ye zindagi
humne jab tak aapko chaha na tha
aaine me jab talak dekha na tha
shehar ki mehrumiya mat poochiye
bheed thi par koi bhi apna na tha
manzile aawaz deti reh gayi
hum pahoch jate magar rasta na tha
itni dilkash thi kaha ye zindagi
humne jab tak aapko chaha na tha