Kismat ne is tarah humain sataya bar bar
Ik khushi ki khatir humain rulaya bar bar
Pyar bhi ajeeb hai jise bhulate rahe
Wo shaks umar bhar yaad aya bar bar
Jin per kia aitbar woh bhi bhul gaye
Apno ne bhi dil ko dukhaya bar bar
Hum hi budnaseeb the roshani na pa sake
Chand to aangan main aaya bar bar