Jo mausam beet jata hai, dobara kyun nahin aata,
kahin se laut kar bachpan hamara, kyun nahin aata.....
yahan aane ko to har din, kissi ka saath aata hai,
jise is dil ne reh reh kar pukara kyun nahin aata.....
who jis ki lao muhabbat ki, jameen ka jagmag diya thi,
to phir raaste mein hamare wo roshan sitara, kyun nahin aata.....
bahut berang faila hai ab baagon mein, jab ki kaliaan chatakti hain,
hamare dhyaan mein lehja tumhara, kyun nahin aata.....
kabhi faile hue pairon se, jab kirnein jhalakti hain,
tasawwur mein unn aankhon ka ishara, kyun nahin aata.....
bhatakta phir raha 'SAGAR', din ke is veeraan jangal mein,
mehakti shaam ka rangeen kinara, kyun nahin aata.....