main ney har kanta teri raah ka palkon sey chuna
log kehte hain main dushman hoon tera tu ney suna
janey kya soch k har zulm rawa rakha hay.
kya main pathar hoon jo qadmo main sada rakha hay
main ne rakha hay faqat apni mohabbat ka bharam.
warna harjaayi terey pyar main kya rakha hay.
bewafayi ka gila lub pe nahi laayon ga
tu muqaddar main nahi dil ko ye samjhayon ga
haal e dil sunney ki shayad tujhey fursat na milay
teri dunia se bohat door chala jayon ga
yeh muqaddar ka likha hay koi taqraar nahi
meri qismat main kahin saaya e dewar nahi.
ab main tujh se bhi inayat ka talabgaar nahi.
yeh gunaah sab se bara hay k gunaahgaar nahi.
main ney har kanta teri raah ka palkon sey chuna.
log kehte hain main dushman hoon tera tu ney suna.