Chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai,
Hum ko ab tak aashiqui ka woh zamana yaad hai;
Ba hazaran izteraab wa sad hazaran ishtiyaque,
Tujh se woh pehle pehal dil ka lagana yaad hai;
Baarha uthna oosi jaanib nigah e shauq ka,
Aur tera garfe se woh aankhein ladana yaad hai;
Tujh se kuch milte hi woh be baaq ho jana mera,
Aur tera daanton mein woh ungli dabana yaad hai;
Kheench lena woh mera parde ka kona dafatan,
Aur dupatte se tera woh munh chupana yaad hai;
Jaan kar sota tujhe woh qasd e paabusi mera,
Aur tera thukra ke sar woh muskurana yaad hai;
Tujh ko jab tanha kabhi pana to az raah e lihaz,
Haal e dil baaton hi baaton mein jatana yaad hai;
Gair ki nazron se bach kar sabki marzi ke khilaaf,
Woh tera chori chupe raaton ko aana yaad hai;
Aa gaya gar wasl ki shab mein kahin zikr e firaq,
Woh tera ro ro ke mujh ko bhi rulana yaad hai;
Dopehar ki dhoop mein mere bulane ke liye,
Woh tera kothe pe nange paon aana yaad hai;
Aaj tak nazron mein hai woh sohbat e raaz o niyaz,
Apna jana yaad hai tera bulana yaad hai;
Meethi meethi ched kar woh baatein pyar ki,
Zikr dushman ka woh baaton mein udana yaad hai;
Dekhna mujh ko jo bargashta to sau sau naaz se,
Jab mana lena to phir khud ruth jana yaad hai;
Chori chori hum se tum aa kar mile the jis jagah,
Muddatein guzar gayeen par ab tak woh thikana yaad hai;
Shauq mein mehandi ke woh be dast o pa hona tera,
Aur mera woh chedna woh gudgudana yaad hai;
Bawajood e adduaye ittiqua Hasrat mujhe,
Aaj tak ahd e hawas ka woh fasana yaad hai.