Kia tum bhe....?
shaam ki dehleez pe
aas k deep jalatay ho....?
aur kise barg-e-aawara ki aahat par
darwazay ki janib bhagay jatay ho....?
kia tum bhe....?
dard chopanay ki koshish kartay kartay
aksar thak se jatay ho....?
aur bin-karan muskatay ho....?
kia tum bhe....?
neend se pehlay palkon par
dhairoun khawaab sajatay ho....?
ya pher be-khawaab jazeroun main
rootay rootay so jatay ho......
shaam ki dehleez pe
aas k deep jalatay ho....?
aur kise barg-e-aawara ki aahat par
darwazay ki janib bhagay jatay ho....?
kia tum bhe....?
dard chopanay ki koshish kartay kartay
aksar thak se jatay ho....?
aur bin-karan muskatay ho....?
kia tum bhe....?
neend se pehlay palkon par
dhairoun khawaab sajatay ho....?
ya pher be-khawaab jazeroun main
rootay rootay so jatay ho......