Tadapate hain na rote hain na ham fariyaad karate hain
sanam kii yaad main har dam Khudaa ko yaad karate hain
Unhiin ke ishq main ham naalaa-o-fariyaad karate hain
Ilaahii dekhiye kis din hamain vo yaad karate hain
Shab-e-furqat main kyaa kyaa saanp laharaate hain siine par
Tumhaarii kaakul-e-pechaan ko jab ham yaad karate hain