FRENZ 4 EVER

Munavvar Rana Collection Join-today-1


Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

Munavvar Rana Collection Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    Munavvar Rana Collection

    Anonymous
    Guest
    Guest

    Frenz 4 Ever Munavvar Rana Collection

    Post by Guest Thu Feb 25, 2010 4:17 pm

    Sab ke kehne se irada nahi badla jaata,
    Har saheli se dupatta nahi badla jaata,

    Hum ke shayar hai, sihyasat nahi aati humko,
    Humse muh dekh ke, lehza hai badla jaata,

    Hum fakiron ko fakiri ka nasha rehta hai,
    Warna kya sheher mein shajra nahi badla jata ?

    Aisa lagta hai ke woh Bhool gaya hai humko,
    Ab kabhi khidki ka parda nahi badla jaata,

    Jab rulaya hai, to hasne pe na majboor karo,
    Roz bimar ka nuskha nahi badla jaata,

    Ghum se fursat hi kahan hai ke tujhe yaad karoon,
    Itni laashen hai to kadhan nahi badla jaata,

    Umrr ek talkh haqiqat hai doston phir bhi,
    Jitne tum Badle ho, Utna nahi badla jaata...

    - Munavvar Rana.
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Frenz 4 Ever Bade log ???

    Post by Guest Thu Feb 25, 2010 4:34 pm

    Siyaasi aadmi ki shakl to pyari nikalti hai,
    Magar jab guftagoo karta hai chingari nikalti hai,
    Labon par muskurahat, dil mein bezari nikalti hai,
    Bade logon mein hi aksar ye beemari nikalti hai...

    - Munawwar Rana
    Daisy
    Daisy
    Grafik Moderator
    Grafik Moderator

    Member is :
    Online Munavvar Rana Collection Online
    Offline Munavvar Rana Collection Offline


    Female

    Virgo Cat

    Posts : 3566
    I Live

    Job/hobbies : Like music
    KARMA : 167
    Reward : 744

    Mood : springy

    Frenz 4 Ever Re: Munavvar Rana Collection

    Post by Daisy Thu Feb 25, 2010 4:43 pm

    clap 2 clap 2 VERY BEAUTIFUL LINES RAJ +K for U

    HAVE A NICE WEEK I HAVE TO GO NOW SEE YA NEXT WEEK HAPPY WISHES RAJ


    flowers
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Frenz 4 Ever Re: Munavvar Rana Collection

    Post by Guest Thu Feb 25, 2010 5:09 pm

    Thanx Daiz... flowers

    U too have a gr8 weekend .... see yaa soon dear.... Thums up
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Frenz 4 Ever Re: Munavvar Rana Collection

    Post by Guest Thu Feb 25, 2010 5:28 pm

    Ajab duniya hai na shayar yaha par sar uthate hai,
    Jo shayar hai wo mehfil me dari chadar uthate hai,

    Tumhare sahar me mayyat ko sab kandha nahi dete,
    Humare ghaav me chappar bhi sab milkar uthate hai,

    Inhe firakpasti maat shika dena ki yeh baache,
    Zamin se chum kar titli ke tute par utate hai,

    Samandar ke safar me wapsi ka kya bharosa hai,
    To aye sahil khudahafiz ki hum langar uthate hai,

    Ghazal hum tere aahiq hai magar ek peth ke khatir,
    Kalam kispar uthana tha kalam kispar uthate hai,

    Bure chehre ke janib dhekhne ki had bhi hoti hai,
    Sambhalna aainakhano ki hum patthar uthate hai...

    - Munavvar Rana
    Anonymous
    Guest
    Guest

    Frenz 4 Ever Re: Munavvar Rana Collection

    Post by Guest Thu Feb 25, 2010 8:24 pm

    ~* MAA *~

    Labo par uske kabhi baddua nahi hoti,
    Bas ek maa hai jo kabhi khafa nahi hoti,

    Iss tarah mere gunaahon ko wo dho deti hai,
    Maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai,

    Maine rote hue ponche the kisi din aansoo,
    Muddaton maa ne nahi dhoya dupatta apna,

    Abhi zinda hai maa meri mujhe kuch bhi nahi hoga,
    Main jab ghar se nikalta hoon dua bhi saath chalti hai,

    Jab bhi kashti meri sailaab mein aa jaati hai,
    Maa dua karti hui khwaab mein aa jaati hai,

    Aye andhere dekh le muh tera kaala ho gaya,
    Maa ne aankhein khol di ghar mein ujaala ho gaya,

    Meri khwaahish hai ki main phir se farishta ho jaun,
    Maa se is tarah liptun ki bachcha ho jaun,

    Maa ke aage yun kabhi khulkar nahi rona,
    Jahan buniyaad ho itni nami achhi nahi hoti,

    Lipat jaata hoon maa se aur mausi muskurati hai,
    Main udru mein ghazal kehta hoon hindi muskrati hai...

    - Munawar Rana

    Sponsored content

    Frenz 4 Ever Re: Munavvar Rana Collection

    Post by Sponsored content


      Current date/time is Sat Apr 27, 2024 7:56 pm