Jin ke nasseb dost sitaro'n me band hain
wo aaj apni zad ke kinaro'n me band hain
khush bhi raho'n chaman me to main kis tarah raho'n
khusiyaa'n mere aangan ki baharo'n me band hain
riste rahen hain zakhm jo sadiyon se aaj tak
nasoor ban ke meri pukaro'n me band hain
tujh ko bhulao'n kaise ke tu hai har ek jaga
tere nishan sare nazaro'n me band hain
bachpan jo kho gaye the kisi bam ke saye me
unke tamam qisse shraro'n me band hain
jao'n to bhag kar bhi main jao'nga kahan
mere gunah qalb ke taro'n me band hain