Ek naya khwab hai deewaane ka
Dil kali ka leraz leraz utha,
Zikar tha phir bahaar aane ka
Hosla kam kisi mein hota hai,
Jeet kar khud hi haar jaane ka
Zindagi kat gayee manaate hue
Abb irada hai rooth jaane ka
Aap "Shahzad" ki na fikar kare,
Woh to aadi hai zakh'm khaane ka