Raat sunti rahi main sunata raha,
Dard ki dastan main batata raha,
Log logon se chahat nibhatay rahay,
Ek wo tha mera dil jalata raha,
Dhoop Chaaon si uski tabiyat rahi,
wo nigahain milata, churata raha,
Ek main hi pyasa raha dosto,
Log peetay rahay, wo pilata raha,
Dil ke mehmaan khany mein ronaq rahi,
Koi aata raha aur jata raha,
Hum-e-muktab ne sara sabak parh liya,
Main tera naam likhta, mitata raha.
Dard ki dastan main batata raha,
Log logon se chahat nibhatay rahay,
Ek wo tha mera dil jalata raha,
Dhoop Chaaon si uski tabiyat rahi,
wo nigahain milata, churata raha,
Ek main hi pyasa raha dosto,
Log peetay rahay, wo pilata raha,
Dil ke mehmaan khany mein ronaq rahi,
Koi aata raha aur jata raha,
Hum-e-muktab ne sara sabak parh liya,
Main tera naam likhta, mitata raha.