Usne kaha mujhse kitna pyar hai,
Maine kaha sitaron ka koi shumar hai ?
Usne kaha ke kaun tumhein hai bohot aziz,
Maine kaha ke dil par jis ka ikhtiyar hai,
Usne kaha ke konsa tohfa hai mannpasand ?
Maine kaha wo shaam jo ab tak udhar hai,
Usne kaha khazan mein mulaqat ka jawaz,
Maine kaha ke qurb ka matlab bahar hai,
Usne kaha sainkadon ghum zindagi mein hai,
Maine kaha ke ghum nahi jab ghumgazar ho,
Usne kaha saath kahan tak nibhaoge,
Maine kaha ke jitni sanson ki taar hai,
Usne kaha mujh ko yaqeen aaye kis tarha,
Maine kaha ke naam mera aitabar hai...