Kitne hi sapne sanjo leta hai yeh mann
Kaise pagal khayalo ko apne main basa leta hai yeh mann
Aane wale har pal main ek nayi asha ko dundhe yeh mann
Jaate hua har pal ki yaad apne main samete leta yeh mann
Suraj aur chaand ko paana, taaron ko daman main sajana chahta yeh mann
Kissi ke chehre par aaye muskan aaisa kuch karna chahta yeh mann
Badi badi khushiyo ke peeche bhaage hai yeh mann
Choti choti baaton main bhi khushiyo ko pa leta hai yeh mann
Kuch baat keh kar kissi ko bhi dost bana leta yeh mann
Aanjane chehro main koi pehchana dundhleta yeh mann
Aaj tumse kal kissi aur se apne aapko baatega yeh mann
Thokar agar kahi milegi to apne aapko sambhal lega yeh mann
Yeh kaisi mrigtrishna main hai fass jaata yeh mann
Riste naato main kiss tarah bandh jaata yeh mann
Apni ek Manzil dundhta, anpe liye raah koi nahi banata yeh mann
Path main chubhe agar kaante to thoda lahu baha leta yeh mann