Baad muddat unhein dekh kar yu laga,
Jaise betaab dil ko qarar aa gaya,
Aarzuon ke gul muskurane lage,
Jaise gulshan mein jaan-e-bahaar aa gaya,
Tishna nazaren mili shokh nazaron se jab,
Mai barasane lagi jaam bharane laga,
Saaqiya aaj teri zarurat nahi,
Bin piye bin pilaye khumar aa gaya,
Raat sone lagi subah hone lagi,
Shamma bujhne lagi dil machalane lage,
Waqt ki raushani mein nahayi hui,
zindagi pe ajab sa nikhar aa gayaa,
Har taraf mastiyan har taraf dilkashi,
Muskurate dilon mein Khushi hi khushi,
Kitana chaha magar phir bhi uth na saka,
Teri mehefil mein jo ek baar aa gaya...
Last edited by Baba on Sat Jul 24, 2010 3:57 pm; edited 1 time in total