Bade anjaan mousam mein,
Bohot berang lamhon mein,
Bina aahat bina dastak,
Bohot masoom sa sapna,
Utar aaya hai aankho mein...
Bina sooche bina samjhe,
Kaha hai dil ne chupke se,
Haan iss masoom sapne ko,
Aankho mein jagha de do!
Bina roke bina bole,
Jhuka diya hai sar hum ne!
Magar tabeer kya hogi,
ye hum jane na dil jane,
Bas maloom hai itna...
Ke ab uss paar hai jaana
Doob ke dariya e ishq mein...
Bohot berang lamhon mein,
Bina aahat bina dastak,
Bohot masoom sa sapna,
Utar aaya hai aankho mein...
Bina sooche bina samjhe,
Kaha hai dil ne chupke se,
Haan iss masoom sapne ko,
Aankho mein jagha de do!
Bina roke bina bole,
Jhuka diya hai sar hum ne!
Magar tabeer kya hogi,
ye hum jane na dil jane,
Bas maloom hai itna...
Ke ab uss paar hai jaana
Doob ke dariya e ishq mein...