Ik lafz-e-mohabbat ka adana sa fasana hai,
Simate to dil-e-aashiq...faile to zamana hai,
Ye kis ka tasavur hai, ye kis ka fasana hai,
Jo ashk hai aankhon mein tasbih ka dana hai,
Ishq ke maaron ka itana hi fasana hai,
Rone ko nahi koi, hasne ko zamana hai,
Woh aur wafa-dushman, maanenge na manaa hai,
Sab dil ki shararat hai, aankhon ka bahana hai,
Ashkon ke tabassum mein, aahon ke tarannum mein
Maasum mohabbat ka maasum fasana hai,
Yeh ishq nahi aasaan itana tu samajh le,
Ek aag ka dariya hai aur dub ke janaa hai,
Aansu to bohot se hai aankhon mein lekin,
Bindh jaaye so moti hai, rah jaaye so dana hai...