Nind bhari hai aankhon mein aur intezaar karta hoon
Dekh meri nazron main tujhe kitna pyaar karta hun
Tum na raho paas mere to koi shikayat nahi
Main dost hijr ka sahi, wasl pe aitebaar karta hun
Main ro padun teri yaad me jab chaudhwin ki raat ho
Main ik baar jiya tha jab ab baar baar marta hun
Ehasas kiska hu main kisi ko kuch khaber nahi,
Main zindagi ke khayal me adhoora kirdaar karta hun,
Tum door se bulaoge main bohut paas aaunga,
Tum had pe khade rehna main had paar karta hun,
Zindagi tere aane se aur to na lout ke aayega,
Main phir bhi tere aane ka intezaar karta hun...