FRENZ 4 EVER

....Ghazals..... Join-today-1


Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

....Ghazals..... Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    ....Ghazals.....

    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... Online
    Offline ....Ghazals..... Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... Empty ....Ghazals.....

    Post by kaash Mon Dec 15, 2008 11:17 pm



    safar-e-manzil-e-shab yaad nahii.n
    log ruKhsat huye kab yaad nahii.n

    [ruKhsat = to leave]

    dil me.n har vaqt chubhan rahatii thii
    thii mujhe kis kii talab yaad nahii.n

    [talab = desire]

    vo sitaaraa thii ke shabanam thii ke phuul
    ik suurat thii ajab yaad nahii.n

    [shabanam = dew]

    aisaa ulajhaa huu.N Gam-e-duniyaa me.n
    ek bhii Khvaab-e-tarab yaad nahii.n

    [tarab = joy]

    bhuulate jaate hai.n maazii ke dayaar
    yaad aaye.n bhii to sab yaad nahii.n

    [maazii = past; dayaar = place/residence]

    ye haqiiqat hai ke ahabaab ko ham
    yaad hii kab the ke ab yaad nahii.n

    [haqiiqat = reality; ahabaab (plural of habiib) = friends]

    yaad hai sair-e-charaaGaa.N "Nasir"
    dii ke bujhane kaa sabab yaad nahii.n

    [sair-e-charaaGaa.N = strolling through brightly illuminated paths]
    [sabab = reason]


    -Nasir Kazmi
    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... Online
    Offline ....Ghazals..... Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... Empty bahut mila na mila zindagi se gham kya hai.....

    Post by kaash Mon Dec 15, 2008 11:25 pm



    bahut mila na mila zindagi se gham kya hai
    mataa-e-dard baham hai to besh-o-kam kyaa hai


    ham ek umr se vaaqif hain ab na samajhaao
    ke lutf kyaa hai mere meharabaan sitam kya hai


    kare na jag men alaav to sher kis maqasad
    kare na shahar me jal-thal to chashm-e-nam kyaa hai


    ajal ke haath koi aa rahaa hai paravaanaa
    na jaane aaj kii feharist me raqam kyaa hai


    sajaao bazm ghazal gaao jaam taazaa karo
    bahut sahi gham-e-geti sharaab kam kyaa hai


    lihaaz me koi kuchh door saath chalataa hai
    vagarnaa dahar me ab Khizr kaa bharam kyaa hai


    -Faiz Ahmed Faiz
    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... Online
    Offline ....Ghazals..... Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... Empty dard jab teri ata hai to gila kisse karen....

    Post by kaash Mon Dec 15, 2008 11:46 pm

    dard jab teri ata hai to gila kisse karen
    hijr jab tune diya ho to mila kisse karen

    aks bikhra hai tera toot ke aayine ke saath
    ho gayi zakhm nazar aks chuna kisse karen

    main safar mein huun mere saath judaayi teri
    humsafar gham hain to phir kisko juda kisse karen

    khil uthe gul ya khule dast-e-hinaayi tere
    har taraf tu hai to phir tera pata kisse karen

    tere lab teri nigaahein tere aariz teri zulf
    itne zinda hain to is dil ko riha kisse karein
    Anonymous
    Guest
    Guest

    ....Ghazals..... Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by Guest Mon Dec 15, 2008 11:56 pm

    nice colection kaash... flowers
    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... Online
    Offline ....Ghazals..... Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by kaash Mon Dec 15, 2008 11:57 pm


    jab bhii aatii hai terii yaad kabhii shaam ke baad
    aur baRh jaatii hai afsurdaa-dilii shaam ke baad

    (afsurdaa-dilii : sadness of heart)

    ab iraadoN pe bharosaa hai na taubaa pe yaqiiN
    mujh ko le jaaye kahaaN tashnaa-labii shaam ke baad

    (iraadoN : on promises; taubaa : penitence; tashnaa-labii : thirst of the lips)

    yuN to har lamhaa terii yaad kaa bojhal guzraa
    dil ko mehsuus hu’ii terii kamii shaam ke baad

    (lamhaa : moment; bojhal : difficult)

    yuN to kuchh shaam se pahle bhii udaasii thii “Adeeb”
    ab to kuchh aur baRhii dil kii lagii shaam ke baad

    -Krishan Adeeb




    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... Online
    Offline ....Ghazals..... Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by kaash Mon Dec 15, 2008 11:59 pm

    Baba wrote:nice colection kaash... flowers

    shukriya baba.........thanku flowers
    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... Online
    Offline ....Ghazals..... Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... Empty Todna Toote Hue Dil Ka Bura Hota Hai....

    Post by kaash Tue Dec 16, 2008 12:05 am

    Todna Toote Hue Dil Ka Bura Hota Hai
    Jiska Koi Nahin Uska To Khuda Hota Hai

    Todna Toote Hue Dil Ka Bura Hota Hai

    Maang Kar Tumse Khushi Loon, Mujhe Manjoor Nahin
    Kiska Maangi Hui Daulat Se Bhala Hota Hai

    Todna Toote Hue Dil Ka Bura Hota Hai

    Log Nahak Kisi Majboor Ko Kehte Hain Bura
    Aadmi Achche Hain Par Waqt Bura Hota Hai

    Todna Toote Hue Dil Ka Bura Hota Hai

    Kyun Muneer Apni Tabahi Ka Ye Kaisa Shikwa
    Jitna Taqdeer Main Likha Hai Ada Hota Hai

    Todna Toote Hue Dil Ka Bura Hota Hai
    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... Online
    Offline ....Ghazals..... Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by kaash Tue Dec 16, 2008 12:16 am

    munh ki baate sune har koi, dil ke dard ko jaane kaun
    aawaazon ke baazaaron me khaamoshi pehachaane kaun

    sadiyon sadiyon vahi tamaashaa rastaa rastaa lambii khoj
    lekin jab ham mil jaate hain, kho jaataa hai jaane kaun

    vo meraa aainaa hai main us ki parachhaaii hun
    mere hii ghar me rahta hai, mujh jaisa hi jaane kaun

    kiran kiran halkaa saa suraj, palal palak khulatii neenden
    yun hi dil pighal rahaa hai, zarraa-zarraa jaane kaun

    -Nida Fazli
    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... Online
    Offline ....Ghazals..... Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by kaash Tue Dec 16, 2008 6:34 pm


    IK KHALISH KO HAASIL-E-UMR-E-RAVAA.N RAHNE DIYA
    JAAN KAR HAM NE UNHE NAAMEHARABAA.N RAHNE DIYA

    KITNI DIIVAARON KE SAAYE HAATH PHAILAATE RAHE
    ISHQ NE LEKIN HUME BEKHVAANAMAA.N RAHNE DIYA

    APNE APNE HAUSALE APNI TALAB KI BAAT HAI
    CHUN LIYAA HAMNE UNHE SAARAA JAHAA.N RAHNE DIYA

    YE BHII KYAA JEENE MEN JIINAA HAI BAGAIR UN KE "ADEEB"
    SHAMA GUL KAR DI GAYI BAAQII DHUAA.N RAHNE DIYA




    -ADEEB SAHARANPURI
    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... Online
    Offline ....Ghazals..... Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by kaash Tue Dec 16, 2008 6:47 pm



    kuchh to ehasaas-e-ziyaa.N thaa pahale
    dil kaa ye haal kahaa.N thaa pahale

    ab to manzil bhii hai Khud garm-e-safar
    har qadam sang-e-nishaa.N thaa pahale

    safar-e-shauq ke far_sang na puuchh
    vaqt beqaid-e-makaa.N thaa pahale

    ye alag baat ki Gam raas hai ab
    is me.n andeshaa-e-jaa.N thaa pahale

    yuu.N na ghabaraaye huye phirate the
    dil ajab kunj-e-amaa.N thaa pahale

    ab bhii tuu paas nahii.n hai lekin
    is qadar duur kahaa.N thaa pahale

    Dere Daale hai.n bagolo.n ne jahaa.N
    us taraf chashm-e-ravaa.N thaa pahale

    ab vo dariyaa na bastii na vo log
    kyaa Khabar kaun kahaa.N thaa pahale

    har Kharaabaa ye sadaa detaa hai
    mai.n bhii aabaad makaa.N thaa pahale

    kyaa se kyaa ho ga_ii duniyaa pyaare
    tuu vahii.n par hai jahaa.N thaa pahale

    ham ne aabaad kiyaa mulk-e-suKhan
    kaisaa sun_saan samaa.N thaa pahale

    ham ne baKhshii hai Khamoshii ko zubaa.N
    dard majabuur-e-fuGaa.N thaa pahale

    ham ne roshan kiyaa maamuur-e-Gam
    varnaa har simt dhuaa.N thaa pahale

    Gam ne phir dil ko jagaayaa 'Nasir'
    Khaanaa_barbaad kahaa.N thaa pahale



    -Nasir Kazmi



    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... Online
    Offline ....Ghazals..... Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by kaash Tue Dec 16, 2008 7:06 pm

    aa ke patthar to mere sahan me.n do-chaar gire
    jitane us pe.D ke phal the pas-e-diivaar gire

    [sahan = courtyard; pas-e-diivaar = other side of the wall]

    aisii dahashat thii fazaao.n me.n khule paanii kii
    aa.Nkh jhapakii bhii nahii.n haath se patavaar gire

    mujhe giranaa hai to mai.n apane hii qadamo.n me.n giruu.N
    jis tarah saayaa-e-diivaar pe diivaar gire

    [saayaa-e-diivaar = wall's shadow]

    tiiragii chho.D gaye din me.n ujaale ke Khutuut
    ye sitaare mere ghar TuuT ke bekaar gire

    [tiiragii = darkness; Khutuut = letters]

    dekh kar apane dar-o-baam laraz uThataa huu.N
    mere ham_saaye me.n jab bhii ko_ii diivaar gire

    [dar-o-baam = walls and roofs; laraz = tremble]
    [ham_saaye = neighbourhood]

    vaqt kii Dor Khudaa jaane kahaa.N se TuuTe
    kis gha.Dii sar pe ye laTakii hu_ii talvaar gire

    [Dor = string]

    ham se Takaraa ga_ii Khud ba.Dh ke andhere kii chaTTaan
    ham sambhal_kar jo bahut chalate the naachaar gire

    haath aayaa nahii.n kuchh raat kii dal_dal ke sivaa
    haaye kis mo.D pe Khvaabo.n ke parastaar gire

    kyaa kahuu.N diidaa-e-tar ye to meraa cheharaa hai
    sang kaT jaate hai.n baarish kii jahaa.N dhaar gire

    [diidaa-e-tar = tear filled eyes; sang = stone]

    dekhate kyo.n ho 'Shakeb' itanii bulandii kii taraf
    na uThaayaa karo sar ko ki ye dastaar gire

    [bulandii = height; dastaar = turban]


    - Shakeb Jalali
    Admin
    Admin
    Administrator
    Administrator

    Member is :
    Online ....Ghazals..... Online
    Offline ....Ghazals..... Offline


    Male

    Virgo Monkey

    Posts : 1635
    Humor : Naughty

    KARMA : 51
    Reward : 155

    ....Ghazals..... Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by Admin Wed Dec 17, 2008 2:16 pm

    Very nice collection Kaash bhai...keep on sharing Thums up
    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... Online
    Offline ....Ghazals..... Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by kaash Wed Dec 17, 2008 11:43 pm

    Admin wrote:Very nice collection Kaash bhai...keep on sharing Thums up


    thanks nilu......... sunny
    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... Online
    Offline ....Ghazals..... Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by kaash Wed Dec 17, 2008 11:44 pm

    tujhii se ibtadaa hai tuu hii ik din i.ntahaa hogaa
    sadaa-e-saaz hogii aur na saaz-e-besadaa hogaa


    hame.n maaluum hai ham se suno mahashar me.n kyaa hogaa
    sab us ko dekhate ho.nge vo hamako dekhataa hogaa


    sar-e-mahashar ham aise aasiyo.n kaa aur kyaa hogaa
    dar-e-jannat na vaa hogaa dar-e-rahamat to vaa hogaa

    jahannum ho ki jannat jo bhii hogaa faisalaa hogaa
    ye kyaa kam hai hamaaraa aur us kaa saamanaa hogaa


    nigaah-e-qahar par hii jaan-o-dil sab khoye baiThaa hai
    nigaah-e-mehar aashiq par agar hogii to kyaa hogaa


    ye maanaa bhej degaa ham ko mahashar se jahannum me.n
    magar jo dil pe guzaregii vo dil hii jaanataa hogaa

    samajhataa kyaa hai tuu diivaanaagaanaa-e-ishq ko zaahid
    ye ho jaaye.nge jis jaanib usii jaanib Khudaa hogaa


    "Jigar" kaa haath hogaa hashr me.n aur daaman-e-hazarat
    shikaayat ho ki shikavaa jo bhii hogaa baramalaa hogaa

    -Jigar Moradabadi
    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... Online
    Offline ....Ghazals..... Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by kaash Wed Dec 17, 2008 11:46 pm


    vo thakaa huaa merii baaho.n me.n zaraa so gayaa thaa to kyaa huaa
    abhii mai.n ne dekhaa hai chaa.Nd bhii kisii shaaKh-e-gul pe jhukaa huaa

    jise le ga_ii hai abhii havaa vo varaq thaa dil kii kitaab kaa
    kahii.n aa.Nsuo.n se miTaa huaa kahii.n aa.Nsuo.n se likhaa huaa

    [varaq = page]

    ka_ii miil ret ko kaaT kar ko_ii mauj phuul khilaa ga_ii
    ko_ii pe.D pyaas se mar rahaa hai nadii ke paas kha.Daa huaa

    [mauj = wave]

    mujhe haadaso.n se sajaa sajaa ke bahut hasiin banaa diyaa
    meraa dil bhii jaise dulhan kaa haath ho mehandiyo.n se rachaa huaa

    vahii Khat ke jis pe jagah jagah do mahakate ho.nTho.n ke chaa.Nd the
    kisii bhuule-bisare se taaq par tah-e-gard hogaa dabaa huaa

    [taaq = shelf; tah-e-gard = under the dust]

    vahiii shahar hai vahii raaste vahii ghar hai aur vahii laan bhii
    magar us dariiche se puuchhanaa vo daraKht anaar kaa kyaa huaa

    [dariichaa = window; daraKht = tree]

    mere saath juganuu hai ham_safar magar is sharar kii bisaat kyaa
    ye charaaG ko_ii charaaG hai na jalaa huaa na bujhaa huaa

    [sharar = spark/ember; bisaat = capacity/worthiness]

    - Bashir Badr







    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... Online
    Offline ....Ghazals..... Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by kaash Wed Dec 17, 2008 11:48 pm

    vo har maqaam se pahale vo har maqaam ke baad
    sahar thii shaam se pahale sahar hai shaam ke baad

    har inqalaab-e-mubaarak har inqalaab-e-azaab
    shikast-e-jaam se pahale shikast-e-jaam ke baad

    mujh pe itanii tavajjo mujh se itanaa gurez
    mere salaam se pahale mere salaam ke baad

    charaaG-e-bazm-e-sitam hai.n hamaaraa haal na puuchh
    jale the shaam se pahale bujhe hai.n shaam ke baad

    ye raat kuchh bhii nahii.n thii ye raat sab kuchh hai
    tuluu-e-jaam se pahale tuluu-e-jaam ke baad

    vahii zubaa.N vahii baate.n magar hai kitanaa farq
    tumhaare naam se pahale tumhaare naam ke baad

    hayaat giriyaa-e-shabanam hayaat raqs-e-sharar
    tere payaam se pahale tere payaam ke baad

    ye tarz-e-fiqr ye rang-e-suKhan kahaa.N 'Qabil'
    tere kalaam se pahale tere kalaam ke baad

    -Qabil Ajmeri & Fayaz Razvi
    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... Online
    Offline ....Ghazals..... Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by kaash Thu Dec 18, 2008 7:01 pm

    zaalim thaa vo aur zulm kii aadat bhii bahut thii
    majabuur the ham us se muhabbat bhii bahut thii

    us but ke sitam sah ke dikhaa hii diyaa ham ne
    go apanii tabiyat me.n baGaavat bhii bahut thii

    vaaqif hii na thaa ramz-e-muhabbat se vo varnaa
    dil ke liye tho.Dii sii inaayat bhii bahut thii

    yuu.N hii nahii.n mashhuur-e-zamaanaa meraa qaatil
    us shaKhs ko is fan me.n mahaarat bhii bahut thii

    kyaa daur-e-Gazal thaa ke lahuu dil me.n bahut thaa
    aur dil ko lahuu karane kii fursat bhii bahut thii

    har shaam sunaate the hasiino.n ko Gazal ham
    jab maal bahut thaa to saKhaavat bhii bahut thii

    bulavaa ke ham 'Ajiz' ko pashemaa.N bhii bahut hai.n
    kyaa kiijiye kam_baKht kii shoharat bhii bahut thii

    - Kaleem Ajiz
    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... Online
    Offline ....Ghazals..... Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by kaash Thu Dec 18, 2008 7:06 pm

    zindagii jaisii tamannaa thii nahii.n kuchh kam hai
    har gha.Dii hotaa hai ehasaas kahii.n kuchh kam hai

    ghar kii taamiir tasavvur hii me.n ho sakatii hai
    apane naqshe ke mutaabiq ye zamii.n kuchh kam hai

    bichha.De logo.n se mulaaqaat kabhii phir hogii
    dil me.n ummiid to kaafii hai yaqii.n kuchh kam hai

    ab jidhar dekhiye lagataa hai ki is duniyaa me.n
    kahii.n kuchh chiiz ziyaadaa hai kahii.n kuchh kam hai

    aaj bhii hai terii duurii hii udaasii kaa sabab
    ye alag baat ki pahalii sii nahii.n kuchh kam hai

    -Shahryar
    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... Online
    Offline ....Ghazals..... Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by kaash Fri Dec 19, 2008 10:00 pm


    husn ko be-hijaab honaa thaa
    shauq ko kaamayaab honaa thaa

    hijr mein kaif-e-iztaraab na puuchh
    khuun-e-dil bhii sharaab honaa thaa

    tere jalvon mein ghir gayaa aakhir
    zarre ko aafataab honaa thaa

    kuchh tumhaarii nigaah kaafir thii
    kuchh mujhe bhii kharaab honaa thaa

    raat taaron kaa tutnaa bhii 'majaz'
    baa_is-e-iztaraab honaa thaa

    -Majaz Lakhnavi-

    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... Online
    Offline ....Ghazals..... Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by kaash Fri Dec 19, 2008 10:02 pm


    sar pe saayaa saa dast-e-duaa yaad hai
    apane aangan mein ik ped thaa yaad hai

    [dast = hand; duaa = prayer]

    jis mein apnii pari.ndon se tashbiih thii
    tum ko skuul kii vo duaa yaad hai

    [parindaa = bird; tashbiih = comparison; skuul = school]

    aisaa lagtaa hai har imtahaan ke liye
    zindagii ko hamaaraa pataa yaad hai

    [imtahaan = test; pataa = address]

    maikade mein azaan sun ke royaa bahut
    is sharaabii ko dil se Khudaa yaad hai

    [azaan = call for prayer]

    main puraanii havelii ka pardaa mujhe
    kuchh kahaa yaad hai kuchh sunaa yaad hai

    [havelii = mansion; pardaa = curtain]

    - Dr. Bashir Badr



    Sponsored content

    ....Ghazals..... Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by Sponsored content


      Current date/time is Thu May 09, 2024 6:24 am