raat bhar kya kya yaqeen-o-wehm mein chashmak rahi
ye gumaan tha ya dar-e-dil per koii dastak rahi
ham to saari umr ashqon ke sahare jee liye
zindagi to bewafaa thi ik tabassum tak rahi
umr bhar sabki nigahoN mein khataktaa hi raha
jurm itna tha ke haq-goii mera maslak rahi
ab na wo sang-e-malamat hai ne wo taanoN ka shor
uski basti mein ye raunak bhi mere dam tak rahi
saaya-e-zulf-e-sanam ki yaad tera shukriya
raat aatish khaan-e-dil mein badi thandak rahi
Shamim Jaipuri