FRENZ 4 EVER

....Ghazals..... - Page 3 Join-today-1


Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

....Ghazals..... - Page 3 Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    ....Ghazals.....

    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... - Page 3 Online
    Offline ....Ghazals..... - Page 3 Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... - Page 3 Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by kaash Sun Feb 15, 2009 4:47 pm

    Daisy wrote:clap 2 clap 2 wah wah bohat khoob kaash....

    kaash wrote:
    ye sabzah’mand-e-chaman hai jo lah’lahaa na sake
    wo gul hai zakhm-e-baharaaN jo muskuraa na sake



    ye aadmii hai vo parvaanah, samm-e-daanistaa
    jo raushnii meiN rahe, raushnii ko paa na sake



    ye hai khuloos-e-muhabbat ke haadisaat-e-jahaaN
    mujhe to kyaa, mere naqsh-e-qadam mitaa na sake



    na jaane aaKhir in aaNsuoN pe kyaa guzrii
    jo dil se aaNkh tak aaye, magar bahaa na sake



    kareiNge mar ke baqaa-e-dawaam kyaa haasil
    jo zindaa rah ke muqaam-e-hayaat paa na sake



    merii nazar ne shab-e-Gham unheiN bhi dekh liyaa
    wo beshumaar sitaare ke jagmagaa na sake



    ye mehr-o-maaH mere, hamsafar rahe barsoN
    phir iske baad merii gardishoN ko paa na sake



    Ghate agar tau bas ek musht-e-Khaq hai insaan
    badhe to vus’at-e-kaunain meiN samaa na sake




    ~Jigar Muradabadi~


    shukriya Daisy...... flowers
    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... - Page 3 Online
    Offline ....Ghazals..... - Page 3 Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... - Page 3 Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by kaash Mon Feb 16, 2009 11:42 am

    ghaTaaoN kii udaasii pii rahaa huuN
    maiN ek gehraa samandar ban gayaa huuN



    terii yaadoN ke angaaroN ko aksar
    tasavvur ke laboN ko chuumtaa huuN

    (tasavvur : imagination)


    ko’ii pehchaan-ne vaalaa nahiiN hai
    bhare baazaar meN tanhaa khaRaa huuN



    meraa qad kitnaa uuNchaa ho gayaa hai
    falak kii vus’atoN ko naaptaa huuN

    (qad : stature; falak : heaven; vus’at : expansion;
    naaptaa : measure)


    vo yuuN mujhko bhulaanaa chaahte haiN
    ke jaise maiN bhii ko’ii haadisaa huuN

    (haadisaa : event)


    badalte mausamoN kii diary se
    tere baare meN aksar puuchtaa huuN



    kisii kii yaad ke pattoN ko “Aazer”
    havaaoN se bachaa kar rakh rahaa huuN

    (patte : leaves)


    ~Kafeel Aazer~
    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... - Page 3 Online
    Offline ....Ghazals..... - Page 3 Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... - Page 3 Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by kaash Mon Feb 16, 2009 11:45 am

    jism ke neze par jo rakhaa hai
    us mere sar meN jaane kyaa kyaa hai

    (neze par : on spear head)

    but banaayaa mere hunar ne mujhe
    mere haathoN ne mujh ko toRaa hai

    (but : statue; hunar : craft, skill)


    bastiyaaN ujRii haiN to sannaaTaa
    merii aavaaz meN samaayaa hai



    maiN bhii be-jaR kaa peR huuN shaayad
    mujh ko bhii Dar havaa se lagtaa hai

    (be-jaR : without roots)


    shah’r meN kuch imaaratoN ke sivaa
    ab meraa kaun milne-vaalaa hai



    kahne-sunne ko kuch nahiiN baaqii
    milnaa-julnaa ajab saa lagtaa hai



    ~Muntazir Saleem~
    Daisy
    Daisy
    Grafik Moderator
    Grafik Moderator

    Member is :
    Online ....Ghazals..... - Page 3 Online
    Offline ....Ghazals..... - Page 3 Offline


    Female

    Virgo Cat

    Posts : 3566
    I Live

    Job/hobbies : Like music
    KARMA : 167
    Reward : 744

    Mood : springy

    ....Ghazals..... - Page 3 Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by Daisy Tue Feb 17, 2009 1:46 pm

    kaash wrote:
    ghaTaaoN kii udaasii pii rahaa huuN
    maiN ek gehraa samandar ban gayaa huuN



    terii yaadoN ke angaaroN ko aksar
    tasavvur ke laboN ko chuumtaa huuN

    (tasavvur : imagination)


    ko’ii pehchaan-ne vaalaa nahiiN hai
    bhare baazaar meN tanhaa khaRaa huuN



    meraa qad kitnaa uuNchaa ho gayaa hai
    falak kii vus’atoN ko naaptaa huuN

    (qad : stature; falak : heaven; vus’at : expansion;
    naaptaa : measure)


    vo yuuN mujhko bhulaanaa chaahte haiN
    ke jaise maiN bhii ko’ii haadisaa huuN

    (haadisaa : event)


    badalte mausamoN kii diary se
    tere baare meN aksar puuchtaa huuN



    kisii kii yaad ke pattoN ko “Aazer”
    havaaoN se bachaa kar rakh rahaa huuN

    (patte : leaves)


    ~Kafeel Aazer~

    clap 2 clap 2 Waah bohat khoob kaash ... flowers
    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... - Page 3 Online
    Offline ....Ghazals..... - Page 3 Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... - Page 3 Empty thank you dear...

    Post by kaash Tue Feb 17, 2009 3:07 pm

    ucchal paRtaa hai saayaa aur mujhko Dar nahiiN lagtaa
    ko’ii aaseb ho insaan se baRh kar nahiiN lagtaa

    (aaseb : ghost)


    kahiiN kacche phaloN ko sang-baarii toR letii hai
    kahiiN phal suukh jaate haiN ko’ii patthar nahiiN lagtaa

    (sang-baarii : barrage of stones)


    hazaaroN mushkileN haiN dostoN se duur rahne meN
    magar ek faaydaa hai piiTh par Khanjar nahiiN lagtaa

    ———


    kahaa phir phone par maaN se ke raavii aish likhtaa hai
    samandar paar meraa haal kyaa hai kisne dekhaa hai

    (raavii : narrator)


    ujaale ke numaainde nayii taariiKh likhte haiN
    jalaayii haiN kuch itnii bastiyaaN har suu ujaalaa hai

    (numaainde : nominated members)


    itnii nokiilii kirnoN se pauDhaa to jal jaayegaa
    lekin das-baaraah GhanToN meN suuraj bhii Dhal jaayegaa



    ~Muzaffar Hanfi~
    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... - Page 3 Online
    Offline ....Ghazals..... - Page 3 Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... - Page 3 Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by kaash Tue Feb 17, 2009 3:09 pm

    kyuN mahkeN gulaab aaNkhoN meN
    ham ne rakhe haiN Khvaab aaNkhoN meN



    dekho ham ek savaal karte haiN
    likh kar rakhnaa javaab aaNkhoN meN



    us meN Khatraa hai Duub jaane kaa
    jhaaNkiye mat janaab aaNkhoN meN



    kabhii aaNkheN kitaab meN gum haiN
    kabhii gum hai kitaab aaNkhoN meN



    ko’ii rahtaa thaa raat din “Alvi”
    inhii Khaanaa-Kharaab aaNkhoN meN

    (Khaanaa-Kharaab : ruined)


    ~Muhammad Alvi~
    kaash
    kaash
    Member
    Member

    Member is :
    Online ....Ghazals..... - Page 3 Online
    Offline ....Ghazals..... - Page 3 Offline


    Male

    Gemini Monkey

    Posts : 349
    Job/hobbies : shayri,music
    KARMA : 0
    Reward : 11

    Mood : artistic

    ....Ghazals..... - Page 3 Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by kaash Tue Feb 17, 2009 3:13 pm

    haalat-e-haal ke sabab, haalat-e-haal hii gayii
    shauq meN kuch nahiiN gayaa, shauq kii zindagii gayii



    ek hii haadisaa to hai aur vo ye ke aaj tak
    baat nahiiN kahii gayii, baat nahiiN sunii gayii



    baad bhii tere jaan-e-jaaN dil meN rahaa ajab samaaN
    yaad rahii terii yahaaN, phir terii yaad bhii gayii



    uske badan ko dii namuud hamne suKhan meN aur phir
    uske badan ke vaaste ek qabaa bhii sii gayii

    (namuud : appearance; qabaa : gown)


    uskii ummiid-e-naaz kaa hamse ye maan thaa ke aap
    umr guzaar deejiye, umr guzaar dii gayii



    uske visaal ke liye, apne kamaal ke liye
    haalat-e-di,l ke thii Kharaab, aur Kharaab kii gayii



    teraa firaaq jaan-e-jaaN aish thaa kyaa mere liye
    yaanii tere firaaq meN Khuub sharaab pii gayii



    uskii galii se uTh ke maiN aan paRaa thaa apne ghar
    ek galii kii baat thii aur galii galii gayii




    ~Jaun Elia~


    Sponsored content

    ....Ghazals..... - Page 3 Empty Re: ....Ghazals.....

    Post by Sponsored content


      Current date/time is Mon May 20, 2024 9:00 am