FRENZ 4 EVER

Sougat mohabbat ki Join-today-1


Join the forum, it's quick and easy

FRENZ 4 EVER

Sougat mohabbat ki Join-today-1

FRENZ 4 EVER

Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Shayari, FREE cards, Masti Unlimited, Fun, Jokes, Sms & Much More...

Frenz 4 Ever - Masti Unlimited

Hi Guest, Welcome to Frenz 4 Ever

Birthday Wishes : Many Many Happy Return Of The Day : ~ Asexy, Bongsq, Callysta Pearl, CBandy, Dhess1111, Elizabethm, Kasak, Laurieali, Pennyphenmit, Rigs008.
Thought of The Day: "We aim above the mark to hit the mark." - Ralph Waldo Emerson

    Sougat mohabbat ki

    Anonymous
    Guest
    Guest

    New Sougat mohabbat ki

    Post by Guest Fri Mar 12, 2010 12:29 am

    Har din ha mohabat ka

    Har raat mohabat ki

    Hum ahley mohabat main

    Har baat mohabat ki

    Har dard k maaron ka

    Bas itna hosla ha

    Tanha ha rooh apni

    aur zaat mohabat ki

    Seene main utarte hian

    elham mohabat k

    ankhon se barasti ha

    Barsat mohabat ki

    in khak nasheeno se

    ronaq ha zamane main

    jo bant'te phirte hain

    khairat mohabat ki

    hum log uthaa lainge

    har bojh aziyat ka

    hum log samaitain ge

    soghaat mohabat ki
    imran niazi
    imran niazi
    Member
    Member

    Member is :
    Online Sougat mohabbat ki Online
    Offline Sougat mohabbat ki Offline


    Posts : 396
    Humor : Life is Nothing Without You

    KARMA : 44
    Reward : 451

    Mood : Happy

    New Re: Sougat mohabbat ki

    Post by imran niazi Fri Mar 12, 2010 1:35 pm

    Nice One Tanvi

    mohabat tu mohabat hy...
    rishtay bhi haqiqat hain

    mohabat sanas main shamil,
    rishtay rah main haail,
    main jo agay jaon tu,
    rishty chot jate hain,
    thehar ju jaon,
    sansain tham si jati hain,

    ajab ik kashmakash si hy,
    issi kashmakash main......

    mera wajod bat'ta hy....
    mera hi wadod mit'ta hy...
    Anonymous
    Guest
    Guest

    New Re: Sougat mohabbat ki

    Post by Guest Fri Mar 12, 2010 1:45 pm

    Beautiful imran dear

    hamein tum se mohabat ha hamara imtihaan lelo

    agar chaho to dil lelo, agr chaho to jaan lelo

    hamein tum bhool mat jana ye ek faryad krte hain

    wafa ki shart se b hum tumhain azad krte hain

    zubaan b hum na kholain gey, ye tum hm se zubaan lelo

    zamana kuch nahi ik rangeen dhoka hay

    tumharay pyar pe lekan humain pora bhrosa hay

    imran niazi
    imran niazi
    Member
    Member

    Member is :
    Online Sougat mohabbat ki Online
    Offline Sougat mohabbat ki Offline


    Posts : 396
    Humor : Life is Nothing Without You

    KARMA : 44
    Reward : 451

    Mood : Happy

    New Re: Sougat mohabbat ki

    Post by imran niazi Fri Mar 12, 2010 6:54 pm

    Bahot khob Tanvi Dear

    Muhobat ik Dua hai
    Mujhe bus ye Dua daina
    Khata koi jo ho jaye
    Kabhi lehja badal Jaye
    Zaroori baat reh jaye
    Mera chehra bigar jaye
    Agar pehchaan na paoon
    Tumhain agar jaan na paoon
    Dua daina
    Muhobat ik Dua hai
    Tum mujhe bus yeah Dua daina
    Sitaray toorna paoon
    Tumharay kaam na aaon
    Tawazun jo na reh paye
    Nazar bandi nazar aye
    Ishara ho shararat ka
    Koi dhoka basarat ka
    Dua daina
    Muhobat ik Dua hai
    Tum mujhe bus yeah Dua daina
    Main tum se keh nai paya
    Tumharay naam ka saya
    Maray humrah rahta hai
    Mujhe her pal yeah kehta hai
    Koi mushkil jo dar aye
    Tasawur mara dhundlaye
    Dua daina
    Muhobat ik Dua hai
    Tum mujhe bus ye Dua daina….
    Anonymous
    Guest
    Guest

    New Re: Sougat mohabbat ki

    Post by Guest Fri Mar 12, 2010 7:04 pm

    Sham dilkash ha

    Mera sath de doo

    ye mear hath hai

    Is me apna hath dedoo

    Dil chahta ha jo sadiyoon se

    Wo haseen chahat de doo

    Galay milkey mujhe rahat de doo

    Parwana hai ya Ukab

    Sunlay

    Apna keh k zamane main

    Ishq ka ankalab de doo
    imran niazi
    imran niazi
    Member
    Member

    Member is :
    Online Sougat mohabbat ki Online
    Offline Sougat mohabbat ki Offline


    Posts : 396
    Humor : Life is Nothing Without You

    KARMA : 44
    Reward : 451

    Mood : Happy

    New Re: Sougat mohabbat ki

    Post by imran niazi Fri Mar 12, 2010 10:10 pm

    Good Post Tanvi

    Main aisi mohabbat karta hoon
    Tum kaisi mohabbat karti ho
    Tum jahan peh baith k jati ho
    Main waheen pe betha rehta hoon
    Us cheez ko choo'tha rehta hoon
    Main aisi mohabbt karta hoon..!!

    Tum jis se huns k milti ho
    Main us ko dost banata hoon
    Tum jis rastay par chalti ho
    Main us say aata jata hoon
    Main aisi mohabbat karta hoon
    Tum kaisi mohabbat karti ho..??

    Kuch khuwab saja kar aankhoon main
    Palkon say moti chunta hoon
    Koi lamha agar *** jay to
    Main pehroon us ko sochta hoon
    Main...aisi mohabbat karta hoon
    Tum kaisi mohabbat karti ho....??

    Jin logon main tum rehti ho
    Tum jin say batain karti ho
    Tum jin say huns k milti ho
    Jo tum ko achay lagtay hoon
    Wohi mujh ko achy lagtay hain
    Main aisi mohabbat karta hoon
    Tum kaisi mohabbat karti ho..??

    Jis bagh main subah ko jati ho
    Jis sabzay par tum chalti ho
    Jo shaakh tumhain choo jati hay
    Jo khushboo...tum ko bhati hay
    Wo oos tumharay chehray par
    Jo qatra qatra girti hai
    Wo titliyan chor k phoolon ko
    Jo tum say milnay aati hain
    Jo tum ko choonay aati hain
    Un sab k nazuk jazbon main
    Meray dil ki dharkan basti hai
    Meri rooh bhi shamil rehti hai
    Tum paas raho ya door raho
    Nazron k samaney rehti ho

    Main tum ko takta rehta hoon
    Main tum ko sochta rehta hoon
    Main aisi mohabbat karta hoon
    Tum kaisi mohabbat karti ho....???

    Har moqay par her manzar main
    Main sath tumharay rehta hoon
    Main chashm-e-tasavvur main aksar
    Bus tum ko dekhta rehta hoon
    Bus tum ko sochta rehta hoon
    Main aisi mohabbat karta hoon
    Tum kaisi mohabbat karti ho...?
    Anonymous
    Guest
    Guest

    New Re: Sougat mohabbat ki

    Post by Guest Fri Mar 12, 2010 11:06 pm

    woooooooooooooow nice feeling excelent imran dear+k
    imran niazi
    imran niazi
    Member
    Member

    Member is :
    Online Sougat mohabbat ki Online
    Offline Sougat mohabbat ki Offline


    Posts : 396
    Humor : Life is Nothing Without You

    KARMA : 44
    Reward : 451

    Mood : Happy

    New Re: Sougat mohabbat ki

    Post by imran niazi Fri Mar 12, 2010 11:33 pm

    Thanks Tanvi Dear rose roserose
    Anonymous
    Guest
    Guest

    New Re: Sougat mohabbat ki

    Post by Guest Sat Mar 13, 2010 9:28 pm



    Masoom mohabbat ka
    Bas itna sa fasana hai,
    Kagaz ki haveli hai
    Aur baarish ka zamaana hai,





    Kya shart-e-mohabbat
    Kya shart-e-zamaana hai,
    Awaaz bhi zakhmi hai
    Aur geet bhi gaana hai,





    Us par utarne ki
    Ummeed bhi bhut kam hai,
    Kasti bhi purani hai
    Aur toofan ko bhi aana hai,





    Samjhe ya na samjhe wo
    Andaaz mohabbat ka,
    Ek shaks ko ankhon se
    Dil ka Sara hal sunana hai,





    Bholi si adaa
    Phir koi ishq ki zid pe hai
    Fir aag ka dariya hai
    Aur doob ke jana
    hai
    Anonymous
    Guest
    Guest

    New Re: Sougat mohabbat ki

    Post by Guest Sat Mar 13, 2010 9:40 pm

    woww tanvi, dat 1 my most favorite ashar of bashi badr sahab .... :-f_ a amazing writer, his ashars are amongst the best Thums up luvly sharing, a +K 4 this... agree
    Anonymous
    Guest
    Guest

    New Re: Sougat mohabbat ki

    Post by Guest Sat Mar 13, 2010 9:47 pm

    ye mujhe bhi bahut pasand hai, rajiska har line dil ko chu leta hai dear
    thanx 4 appreciation dear Sougat mohabbat ki 885599
    imran niazi
    imran niazi
    Member
    Member

    Member is :
    Online Sougat mohabbat ki Online
    Offline Sougat mohabbat ki Offline


    Posts : 396
    Humor : Life is Nothing Without You

    KARMA : 44
    Reward : 451

    Mood : Happy

    New Re: Sougat mohabbat ki

    Post by imran niazi Sun Mar 14, 2010 1:45 am

    Ooh my dear this is the one of my most favorite poem. i like this poem very much. iss ki poetry kia hi shandar hy. here is + k for you.
    imran niazi
    imran niazi
    Member
    Member

    Member is :
    Online Sougat mohabbat ki Online
    Offline Sougat mohabbat ki Offline


    Posts : 396
    Humor : Life is Nothing Without You

    KARMA : 44
    Reward : 451

    Mood : Happy

    New Tumhari Ankhon Mein Chahat Ka Samandar Paya Hum Ney

    Post by imran niazi Sun Mar 14, 2010 1:54 am

    Tumhari Ankhon Mein Chahat Ka Samandar Paya Hum Ney
    Tumharey Har Lafz Ki Teh Mein Mohabbat Ka Samandar Paya Hum Ney
    Us Ki Kamsin Adaoon Ney Ghar Ker Liya
    Dil Mein Us Kay Yeh Manzir Dekha Hum Ney
    Us Ki Shooh Chan Chal Adaoon Ney Mooh Liya
    Dil Kay Us Ka Yah Haal Dekha Hum Ney
    Us Ka Is Ko Aik Jhalak Sirf Dekhna
    Aur Itney Mein Us ka Khil Uthna Yah Haal Dekha Hum Ney
    Waqt Guzarney Kay Sath Un Dono Ka Milna Aur
    Aik Dosrey Ko Chori Dekhna In Choriyon Ko Dekha Hay Hum Ney
    Rang Lay Ayi Un Ki Chahat Akhirkar Aur WOH
    Mohabbat Ki Dor Mein Bandh Gayey Dono Yah Bandhan:love Dekha Hum Ney
    Ragoon Mein Phirtey Raho Tum Dono Aik Dosrey Mein Khoon Ban Ker
    Bas Yahi Tumharey Liyey Apney Rab-e-Kareem Sey Mangha Hum Ney
    Tumhari Ankhon Mein Chahat Ka Samandar Paya Hum Ney
    Tumharey Har Lafz Ki Teh Mein Mohabbat Ka Samandar Paya Hum Ney
    Anonymous
    Guest
    Guest

    New Re: Sougat mohabbat ki

    Post by Guest Sun Mar 14, 2010 11:16 pm

    wah behad dilkash nazm, shukriya imran dear
    imran niazi
    imran niazi
    Member
    Member

    Member is :
    Online Sougat mohabbat ki Online
    Offline Sougat mohabbat ki Offline


    Posts : 396
    Humor : Life is Nothing Without You

    KARMA : 44
    Reward : 451

    Mood : Happy

    New Re: Sougat mohabbat ki

    Post by imran niazi Mon Mar 15, 2010 5:19 pm

    Thanks Tanvi Dear rose rose rose
    imran niazi
    imran niazi
    Member
    Member

    Member is :
    Online Sougat mohabbat ki Online
    Offline Sougat mohabbat ki Offline


    Posts : 396
    Humor : Life is Nothing Without You

    KARMA : 44
    Reward : 451

    Mood : Happy

    New Re: Sougat mohabbat ki

    Post by imran niazi Mon Mar 15, 2010 5:41 pm

    Tuti, banti. bekharti, sochti, tarapti rahi
    Aansuon kii jheel mein main umr bhar jalti rahi

    Dil se dil mil jaye to khushbu hi khushbu har taraf
    Phuul se bulbul ye kehti aur mein sunti rahi

    Wo jo aye paas mere sirf itna hosh hai
    Thi zaban khamosh lekin aankh kuch kehti rahi

    Hadso kii god mein palta hai am-e-mustaqal
    Lehar dariya ki yahi kehti rahi behti rahi

    Aur wo gazal ko hi bewfa kehta raha
    Gam pe gam jiske liye sehti rahi ,jeeti rahi
    Anonymous
    Guest
    Guest

    New Re: Sougat mohabbat ki

    Post by Guest Mon Mar 15, 2010 6:09 pm

    Hadso kii god mein palta hai am-e-mustaqal
    Lehar dariya ki yahi kehti rahi behti rahi

    wooooow bahut sunder +k dear
    imran niazi
    imran niazi
    Member
    Member

    Member is :
    Online Sougat mohabbat ki Online
    Offline Sougat mohabbat ki Offline


    Posts : 396
    Humor : Life is Nothing Without You

    KARMA : 44
    Reward : 451

    Mood : Happy

    New Re: Sougat mohabbat ki

    Post by imran niazi Mon Mar 15, 2010 6:31 pm

    Thanks Tanvi Dear rose
    Anonymous
    Guest
    Guest

    New Re: Sougat mohabbat ki

    Post by Guest Wed Mar 17, 2010 8:46 pm



    Sabhi jazbat, khayalat badal jate hain!!
    Youn mohabat mein yeh din raat badal jate hai!!



    Piyar to un ko bhi hami say ha magar jane kyu?
    Ham karay bat to woh bat badal jate hai


    Aarzo to hai k izhar mohabat kar dain!
    Lafz chunte hain to lamhat badal jatey hai!!


    Kitni nafrat thi kabhi ehley mohabat say?
    Ho mohabat to khayalat badal jate hain!!


    Aik sa waqt mohabat mai kahan rehta hai?
    Gardish -e- waqt say halat badal jate hain.
    imran niazi
    imran niazi
    Member
    Member

    Member is :
    Online Sougat mohabbat ki Online
    Offline Sougat mohabbat ki Offline


    Posts : 396
    Humor : Life is Nothing Without You

    KARMA : 44
    Reward : 451

    Mood : Happy

    New Re: Sougat mohabbat ki

    Post by imran niazi Wed Mar 17, 2010 10:41 pm

    Aarzo to hai k izhar mohabat kar dain!
    Lafz chunte hain to lamhat badal jatey hai!!

    Bahot khob Tanvi Dear

    Naam Likh Kay Tera Khud Hi Mita Deta Hon
    Iss Tarah Khud Mayn Har Roz Saza Deta Hon

    Ashk chup Chaap Hi Aankhon Se Baha Deta Hon
    Yun Teray Piyar Ko Andaaz Neya Deta Hon

    Tera Millna Tow Muqaddar Mayn Nahi Shayyad
    Apni Aankhon mayn Faqat Khuwaab Hi Saja Deta Hon

    Meray Hounton Pe Toh Ek harf Shikayat Bhi Nahi
    Mayn Toh Uss Shakhs Ko Roz Dua Deta Hon

    Dill Ki Tareek c Basti Mayn Ujaalay Kay Liye
    Aarzoun Kay Chiraaghon Ko jala Deta Hon

    Sponsored content

    New Re: Sougat mohabbat ki

    Post by Sponsored content


      Current date/time is Sun May 12, 2024 1:36 am